lawyerguruji

Online mnrega ke kaam ki jankari kaise le-Online get NAREGA work information

www.lawyerguruji.com

Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko " MNAREGA" ( Mahatma Gandhi National Rural Employment Guarantee Act, 2005) ke bare mein batane ja rahe hai " Yadi aap MANREGA ke antargat diye jane wale rojgar ke kaam ke bare janna chahte hai, to kaise jane. Aaj isi ke  bare mein Lawyer guruji aapko batayenge. Online facility ho jane ke kaarn ab har koi apne gavn (village) mein MANREGA ke antargat ho rahe us har kaam (work) ki janakri prapt kar sakta hai.
Online MANREGA ke kaam ki janakri kaise le. ( Online get NAREGA work information.)

To, chaliye sabse pahle janlete hai ki MANREGA hai kya ?

Mahatma Gandhi National Rural Employment Guarantee Act, 2005 kya hia ?
Indian Government ke dwara 2005 mein is scheme (MANREGA) ko lagu kiya gya jiska main uddeshya yah tha ki jada se jada berojgar logo ko rojgar mil sake aur india se berojgari kam ho sake. Indian Government ke dwara yah bahut hi sarahniya kaam kiya gya, is scheme se kai logo ke ghar mein khane ki dikkat dur ho gyi hai, us isme kaam karne walo ke bacche bhi school jane lage hai, to pahle nahi ja pate thy.
MANREGA ki adhik janakri mein apne agle post mein likh kar aap sabhi ko iski jankari dunga.

To chaliye ab hum main baat pe aty hai.

Ab question yah hai, ki hum kyo MANREGA ke antargat diye jane wale ki kaam ki janakri le ?
2005, mein Indian Government ke dwara MANREGA ko lagu kiye jane ka mukhya uddeshya yah hai, ki india mein berojgar ke is % percentage ko jitna kam ho sake utna kam kiya jaye. Yah tak ki government ki yah employment scheme bahut kargar rahi aur bahut se berojgaro ko iska labh bhi mila parantu bahut se logo ne iska scheme ka bahut galat tairke se bhi labh uthaya gya hai jaise:

  1. Aap sabhi logo ne yah suna hoga ki gavn (village) mein MANREGA ke antargat diye jane wale kaam (work) mein bahut se log to is scheme ke antargat apna registration to karva lete hai kaam karne ke liye lekin ye kam ke time na akar  us time aate hai, jab wages milna hota hai. 
  2. Bahut se gavno (village) mein Gram-Panchayato ke dwara jaali (fraud) job card bhi bna diye jaate hai.
  3. Yah scheme khas-kar government ne garibo ke liye lagu kiya hai, jiske antargat in sabhi garibo ko rojgar mil sake aur ye apni jivika ko acchi tarah se chala sake, lekin bahut se log is scheme ka ullanghan kar garibo ke hal ka paisa ghar baithe khud le rahe hai.
kaisi janakri le sakte hai jaise :
  1. Aap sabhi yah jan sakte hai, ki aapke gavn mein MANREGA ke antargat diye jane wale rojgar mein kaun kaun vyakti registerd hai kaam karne ke liye ate hai jo ki garibi rekha ke antargat ate hai.
  2. Gavn (Village) mein MANREGA ke antargat diye jane wale rojgar mein kin kin logo ke fraud job card bane huye hai.
  3. Aap ke gavn (village) mein MANREGA ke antargat diye jane wala rojgar kitne din tak chala hai.
  4. Aap yah bhi jan sakte hai, ki aapke gavn mein ve kaun se log hai, jo bina kaam mein aye MANREGA se rojgari (wages) le rahe hai.
To, chaliye ab jante us tarike ko kaise janakri le.

Village mein MANREGA ke kaam ki jankari kaise le ?
Aap sabhi MANREGA ke antargat diye jane wale rojgaar ki janakri lene ke 2 tarike hai.
1.Aap RTI ke dwara MANREGA ke antargat diye jane wale rojgaar ki janakri le sakte hai, lekin in sabhi mein 10 se 15 din ka time lag sakta hai.

2. Yah dusra tarika sabse saral aur time saving bhi hai, wah hai Online MANREGA ki official website par jaa kar aap kuch time ke bhitar MANREGA ke antargat diye jane wale rojgaar ki janakri asani se le sakte hai.

TO, chaliye jante hai, dusre tarike ke bare mien jo ki bahut hi saral hai aur time saving bhi hai.

Online MANREGA ke kaam ki jankaari kaise le.

1. Sabse pahle aapko MANREGA ki official website par jana hoga aur weibsite par aapko Social Audit par click karna hoga.
www.narega.nic.in  is website link par aap click kar direct social audit ke page par jaa sakte hai.
MANREGA official website.

2. Social Audit par click karne ke baad ab apke samne ek aisi window open hogi, 
 Generate Social Audit Gram Sabha Report
Is window mwin ab aapko  aapko blue color se likhe huye 8 option dikhai denge, in sabhi mein se aapko " Generate Social Audit Gram Sabha Report" par click karna hoga.

3. Generate Social Audit Gram Sabha Report par click karne ke baad ab aapke samne ke aisi window open hogi.
 Generate Social Audit Gram Sabha Report
Is window mein aapko apne rajya (state) par click karna hoga. 

hum aapko ek eaxmple ke jariye se batate hai, jaise aapne UTTAR-PRDESH par click kiya to aab aapke samne kuch aisi window open hoig.
 Generate Social Audit Gram Sabha Report
Is window jo form open hua hai, uske antargat ab apko apne Gavn ki janakari fill karna hoga.
  1. Financial year select kare le.
  2. District select kar le.
  3. Block select kar le.
  4. Panchayat select kar le.
ab niche to option diye huye hai.  
(a). With SA Calendar.
(b). Without SA Calendar
inme se aapko koi ek select karna hoga. In sabhi ko fill karne ke baad ab apko Get Report part click karna hoga.

4. Jab aap Get Report par click karenge to, aapke samne kuch is prakar ki window open hogi.
Social Audit Reports
Ab aapke samne window par Social Audit Report open hokar ayegi.ab aap apne anusar report ko open kar ke dekh sakte hai.
  1.  Form no. 1 par aapko Panchayat mein kya kay kaam hua hai,aur kab hua hai iski janakri milegi.
  2. Form 2A mein Panchayat dwara abhi tak complete huye pure kaam ki janakri milegi.
  3. Form  2B mien aapko kaam ke time kharch hue paiso ki janakri milegi.
  4.  Form no. 3 par aapko worker ke payment se related janakri milegi. Work type, Muster rol, Number of workday/ work payment.
  5. Form no. 4 par aapko wah janakri milegi jaise ki SC/ST vyakti ne kaam ke liye demand ki ho aur ussay kaam mila ya nahi, yadi mila to kitne din tak mila.
  6. Form no. 5 par aapko yah janakri milegi ki aapke parivar ke logo ne is saal total kitne din kaam kiya hai aur aapki total payment kitni hai.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.