lawyerguruji

Muslim mein talaq lene ke adhar kya hai? Grounds of divorce in Muslims

www.lawyerguruji.com

Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko Muslim law ke bare mein batane jaa raha hu, ki muslim mein talaq kaise hota hai. Muslim mein Talaq ke bare mein  " The Dissolution of Muslim Marriage Act, 1939" mein Talaq ke ground bataye gaye hai.

Muslim mein talaq lene ke adhar kya hai? (Grounds of Divorce in Muslims.)

To, chaliye ab jada time na lete huye, shuru karte hai,

Grounds of  Talaq / Divorce / Dissolution of Marriage in Muslim.
Muslim law ke anusar married women talaq ke liye in grounds ke jariye decree obtianed karne ka right hai.

1. Yadi do muslims ke beech nikah  hota, aur nikah ke baad  4 saal se uske Pati ka koi pta na ho, ki vo ab is time kaha hai, kya kar raha hai, iske sambandh mein us mahila ke pass koi jankari nahi hai, to aise mein wah mahila Talaq ke liye decree dhakil (file) kar sakti hai, yah uska adhikar hai.
  
2. Yadi Nikah ke baad 2 saal se Pati apni Patni ka bharan- poshan ( Maintenance) nahi kar paa raha hai, to iske adhar par muslim mahila apne pati se talaq le sakti hai.

3. Yadi muslim mahila ke pati ko kisi apradh ke chalte 7saal ya 7 saal se jada ki jail ho jati hai, to iske adhar par wah muslim mahila talaq le sakti hai.

4. Yadi Nikah ke baad Patni ko yah malum hota hai, ki uska Pati napunshak hai, to wah is adhar par apne Pati se Talaq se le sakti hai.

5. Yadi Nikah ke baad Pati 2 saal se Pagal hai, to aise mein wah mahila apne Pati se is adhar par Talaq le sakti hai.
   
6. Yadi Pati kusth rog se grasit hai ya Ugr rog se grasit hai, to aise mein Patni us Pati se Talaq le sakti hai.

7.  Yadi kisi muslim mahila ka Nikah 15 saal ki age puri hone se Pahle ho chuki ho aur usne apne Pati ke sath sexual intercourse na kiya ho to, to aise mein wah Patni apne Pati se Talaq le sakti hai.

8. Yadi Nikah ke baad se Pati ka vevhar ( behavior) apni Patni ke sath sahi na ho to ,aise men wah Patni apne Pati se Talaq le saktoi hai.

9. Yadi Pati bina kisi proper reason ke 3 saal se apne Marital liabilities ko pura na kar pa raha ho, to aise mein wah Patni apne Pati se Talaq le sakti hai.


Muslim mein Talaq lene ki aur bhi prakriya hai.

1. Mubarat- Mubarat ke anusar isme Pati aur Patni apne apsai sahmati se ek dusre se alag hone ka faishla( decision) lete hai, yah ek aisa tarika hai, jisme Pati aur Patni ko kisi bhi prakar ki dikkato ( problem) ka samna nahi karna padta hai.

2. Talaq-e-Toufeed- Talaq-e-toufeed ke anusar Pati apne Talaq lene ke adhikar ko Nikah ke time ekrarname (Agreememnt)  mein apni Patni ko de deta hai. Is condition mein anya bato ke atirikt yah condition bhi ho sakti hai, ki Pati ke dwara dusra Nikah kar lene par uski pahli Patni ko Talaq lene ka adhikar hoga.

3. Khula - Muslim mein marriage ek contract hoti hai jiske karar par ve ek dusre se Nikha karte hai, Yadi Pati aur Patni ek dusre se alag hona chahte hai, to ve khula ke anusar apas mein Nikah ke liye kiye gaye agreement ko samapt (break) kar lete hai, Khula ke anusar huye talaq ke antargat aamtour se Patni jab apne Pati se Talaq leti hai, to Mehar nahi mangti hai. Talaq lene ki sari sharte (condition) Pati aur Patni apas mein decide karte hai.







No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.