Acid attack hota kya hai aur acid attacker ke liye sja kya hai- What is acid attack and punishment for acid attacker
Hello friends,
Aaj mein aap sabhi ko Acid Attack ke bare mein batane ja raha hu, kya hota hai, acid attack aur acid attack ke doshiyo ke liye sja ka kya pravdhan hai, kitne saal ki sja milti hai, yadi koi acid attack jaisa gambhir apradh karta hai.
Acid attack hota kya hai?
Acid attack ko hum asan se sabdho mein samjenge jiska matlab yah hai, ki kisi vyakti dwara dusre vyakti ke upar acid se attack karna, jisme jis vyakti ke upar acid feka jata hai, us vyakti ke jis body part mein acid girta hai, us body part ki skin jal (burn) jaate hai, jiske kaarn se us vyakti ko physical harm to hota hai, sath-sath usko mental harm bhi hota hai.
Acid attack ke kaarn kya hote hai?
Acid attack ke piche kaarn logo ki mansikta (mentality) hoti hai, jaise badla (revenge) lene ki mansikta etc.
- One side love jo ki acid attack ka sabse jada kaarn mana jata hai, jisme ladka to ladki ko pasand karta hai, par ladki nahi isi kaarn ke piche ladke yah sochte hai ki tu meri nahi to kisi ki nahi, isi mansikta (mentality) ke piche ve us ladki par acid attack kar usko nuksan pahuchate hai.
- Sexual harassment.
- ladki yadi kisi ladke ke love proposal ko thukra deti hai, to aise mein ladke is thukraye huye proposal ka badla lene ke liye acid attack karte hai.
- Acid Attack ke apne kai kaarn ho sakte hai, ye kaarn logo ki pani mansikta par nirbhar karta hai, ki wah kya sochte hai.
Supreme court ki guideline Acid attack victims ke liye.
Acid attack ke kaarn victim ka wah body part burn ho jata hai, jis jagah par acid feka jata hai, jiske kaarn in victims ko physical harm ke sath-sath metal harm bhi hota hai.
Acid attack ke victims ke liye Supreme Court ne in victims ki care, treatment ke liye guideline jaari ki hai, To chaliye jante hai,ki wah kaun si guidelines hai:
- Koi bhi hospital acid attack victim ka ilaaj (treatment) karne se mna nahi kar sakta,
- All state government aur Union territories governments ko acid attack victim ko turant kam se kam 3lac rs ki help provide karani hogi,
- State mein tejab (acid) ki khuli bikri par rok lagegi taki koi acid attack ko roka jaye,
- Acid victims ko free treatment provide karwana state government ki jimmedari hai,
- Yaha free treatment ka matlab yah hai, ki acid attack vicitm ke hospital ka kharcha, khane ka kahrcha, medicine ka kharcha, sath-sath surgery ka bhi kharcha government degi.
- Acid attack victim ko certificate diya jayega jissay future mein usay saari suvidhaye (facilities) mil sake. Yah certificate victim ki primary treatment karne wale hospital ke dwara jaari kiya jayega.
Meri wife ki acid attack se death ho gayi thi 2010 main meri beti par bhi acid attack hua tha meri beti abhi 9 seal ki hui hai mere beti ko 25000rs mile the 2013 main maine2020main meri beti ko jo madad milni chahiye nahi mil rahi main dlsa ambala Main application di hui hai plse help me
ReplyDeleteमुकदमे का निर्णय क्या आया ?
DeleteKya 2010ki ghatna ke acid victim ko kuch madad milsakti hai
ReplyDelete