lawyerguruji

Sanyukt Rajya America mien cybercrime ke liye saza ka pravdhan kya hai? -Punishment For Cyber crime in United State America

www.lawyerguruji.com

Hello Friend's
Aaj is post mein aap sabhi ko Sanyukt rajya america mein cyber crime par sja ka kya pravdhan hai , iske bare mein batane ja rha hu. Cyber crime pure world ke liye ek challenge hai, ki issay kaise nipta jaye, kyoki yah ek aisa apradh hai, jisme apradhi ko pakad pana mushkil ka kaam hota hai. Kyo ki ismein apradhi world ke kisi bhi kone mein baith kar apradh karta hai aur uski exact location ka pta lagana bda challenge ka kaam hota hai.

 Sanyukt Rajya America mien cyber crime ke liye sja ka pravdhan kya hai? (Punishment For Cyber crime in United State America.)


In Cyber crime ko rokne aur apradhi ko pakadne ke liye world ki kai country ne cyber law's banaye hai.

International level par kewal 12 countries nein hi cyber crime se cyber law banaye hai. Asia mein sabse pahle cyber law banane wali country Singapore hai aur Dusre number par India hai jisne cyber crime ke roktham ke liye cyber law banaye hai.
United nation of america, Britain, Canada, Japan, Germany, France, Chine  in sabhi country ne bhi cyber crime ko rokne ke liye cyber law bna diye hai.
Ye law worldwide nahi hai isiliye cyber crime ko rokne ke liye ek international cyber law hona chahiye, jo ki worldwide lagu ho aur world ke sabhi desho ( Country) ke liye ek taki cyber crime se sambandhit mukadmo ka har ek desh mein register aur trail ho sake.

Aaj aap sabhi ko United Nation of America ke cyber law ke bare mein batane ja raha hu, yadi koi bhi vyakti U.S.A mein cyber crime karte hue paya jata hai, to kya sja milegi.

United Nation of America mein cyber law.
Uniten Nation of America mein cyber crime ko rokne ke liye Crime and Criminal Procedure ke lesson 47 ke section 1029 mein Fraud aur ussay sambandhit gatividhiyo ko rokne ke liye pravdhan kiye gaye hai, aur section 1030 mein Computer se sambandhit cyber crime ko rokne ke liye pravdhan kiye gaye hai.

Section 1029- Fraud and Related Activity.
1.Janboojhkar( Intentionally)  ya dhokhadhadee (Fraud) karne ke maksad se technology se sambandhit nakli ( fake) sadhan ko banana, in  sadhano ka istemal karna ya iska vyapar karna. Yadi koi bhi vyakti isme pakda jaata hai aur doshi paya jaata hai, to aise mein 50,000 dolor ka jurmana ya 15 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai. Yadi isi apradh ko vyakti dubara karta hai, to 100,000 dolor ka jurmana ya 20 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

2. Unauthorize  device ka istemal karke 1,000 dolor tak ki vastuye prapt karne par 10 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai. YAdi yahi apradh dubara dohraya jata hai, to aise mien 100,000 tak ka jurmana aur 20 sal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

3.Fake aur un authorize device ko janbhooj kar rakhna ya dhokadhaadee ke maksad se rakhne par 10,000 dolor tak ka jurmana aur 10 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai. Yahi apradh dohraya jata hai to, aise mein 100,000 dolor ka jurmana aur 20 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

4.Janbhooj kar avam dhokha dhaade ke maksad se fake device ko banane par aur iska vyapaar karne par 50,000 dolor ka jurmana ya 15 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai. Is apradh ko dohrane par 100,000 dolor ka jurmana aur 20 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

5. Janbhooj kar ya dokhadhaadee ke maksad se kisi dusre vyakti ki device ko bina uski marji ke un authorize tarike se istemal karke 10,00 dolor prapt karna ya ukt dhanrashi ki koi vastu prapt karne par 10,000 dolor tak ja jurmana  ya 10 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai. Is apradho ko dohrane apr 100,000 dolor ka jurmana ya 20 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

6.Janbhooj kar ya dhokha dhaadee ke maksad se aisi information dena avam bechna jiske kaaran se kisi vyakti ko nuksan hota hai ya dusre vyakti ke bare mein uski private information ko kisi dusre vyakti ko dene par 10,000 dolor ka jurmana ya 10 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai, Yadi yahi apradh dohraya jaata hai to aise mein 100,000 tak ka jurmana ya 20 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

7. Hardware aur software ka istemal karke janbhoojkar aur dhokha dhaadee ke maksad se kisi dusre vyakti ke computer, mobile ya technology se related electronic machine mein bina us vyakti ki marji se pravesh karna ya is prakar ka vyapaar karne par 50,000 dolor ka jurmana ya 15 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai, Yadi yahi apradh dohraya jaata hai, to aise mein 100,000 dolor ka jurmana ya 20 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

8.Janbhooj kar ya dhokha dhaadee ke maksad se kisi dusre vyakti ki computer, mobile ya technology se related electronic machine mein is tarah ka parivartan ( changes) karta hai jissay ki vah vyakti ya dusra koi vyakti uska un authorize tarike se istemaal kar sake  ya karta hai, to aise mein 50,000 dolor tak ka jurmana ya 15 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai, Yadi yahi apradh dohraya jaata hai, to aise mein 100, 000 tak ka jurmana ya 20 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.

9. Janbhooj kar ya dhokha dhaadee ke maksad se credit card ka galat istemaal karne par 10,000 dolor tak ka jurmana ya 10 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai, yadi yahi apradh dohraya jaat hai, to aise mein 100,000 dolor tak ka jurmana ya 20 saal tak ki jail ki sja ho sakti hai.



No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.