www.lawyerguruji.com
Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko "Right of Children to free and Compulsory Education Act, 2009", ke bare mein batane ja raha hu. Kya hai Rightof Children to free and Compulsory education Act, 2009 ?
Kya yah adhiniyam sabhi baccho par lahu hota hai ? Baccho ko private school mein free education kaise mil sakti hai ?
Right to free and Compulsory education Act, 2009 kewal 6 saal 14 saal tak kiage ke baccho ke liye hi lagu hoti hai. lekin 14 saal se adhik age wale bacche jo ki 8 class tak school nahi ja pa rahe hai. Is adhiniyam ki khas bat yah hai ki har baccha class 8 tak free education prapt kar sakta hai.
Is adhiniyam se baccho ko kaise madad milegi ? ( How does this Act help Children?)
Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ko "Right of Children to free and Compulsory Education Act, 2009", ke bare mein batane ja raha hu. Kya hai Rightof Children to free and Compulsory education Act, 2009 ?
Kya yah adhiniyam sabhi baccho par lahu hota hai ? Baccho ko private school mein free education kaise mil sakti hai ?
Kya hai "Right of Children to Free and Compulsory Education Act, 2009 ?
Is education ke Act ko 4 august 2009, mein parliament mein pesh kiya gya aur 1 april 2010 ko yah India mein lagu kiya kiya gya jisme children ke liye free and Compulsory education pradan kiye jane ki baat kahi gyi hai. Is adhiniyam ke pass hone par India ke har baccho ko free and compulsory education ka fundamental right mil gya.
Indian Constitution ke Article 45 ke anusar 6 saal se 14 saal tak ke sabhi baccho ke liye free and Compulsory education ki vevastha ki gyi. Constitution ke 86 amendment dwara ek nya article 21(a) add kiya gya jisme primary education ko sab nagriko ke liye fundamental right bna diya gya.
- Is adhiniyam ke dwara baccho ke liye free and compulsory education provide karane ki jimmedari State aur Central Government ki hogi.
- Is adhiniyam ke pass hone se 6 saal se 14 saal ke sabhi baccho ko free mein education provide karai jayegi.
- School ke syllabus constitution ki guideline ke anuroop honge.
- Private school ko 6 saal se 14 saal tak ke baccho ko in school ke dwara 25% garib baccho ko free mein education deni hogi. Yadi in school ke dwara is rule ka ullanghan kiya jata hai aur bacho kisi bhi prakar ki fees li jaati hai, aise mein in school par karya-vahi hogi jo ki 10 guna jada jurmana lagaya jayega.
- Yadi yah condition kisi private school ke dwara nahi mani jaati hai, to un school ka licence cancel kar diya jayega.
- Yadi licence cancel ho jane ke baad bhi school chalaya jata hai, to aise mein Rs-100,000 lakh aur iske baad rojana Rs- 10,000 ka jurmana lagaya jayega.
- Teacher tuition nahi padhayenge.
- Viklang ( Divyang) baccho ko liye is free and Compulsory education ke liye age 18 saal rakhhi gyi hai.
- Private school dwara admission ke time Capitation fees ki mang ki jaati hai aur baccho ke Mata- Pita ( Parents) ko ek interview ki prakriya (process) se gujarna hota hai. Admission ki is prakriya ko badlne ka wada bhi is vidheyak (bill) mein kiya gya hai.
- Baccho (children) ki screening aur parents ke exam lene par Rs- 25,000 ka jurmana lagaya jayega. Yadi is prakar ki prakriya dubara ki jaati hai ,to Rs- 50,000 ka juemana lagaya jayega.
Right to free and Compulsory education Act, 2009 kewal 6 saal 14 saal tak kiage ke baccho ke liye hi lagu hoti hai. lekin 14 saal se adhik age wale bacche jo ki 8 class tak school nahi ja pa rahe hai. Is adhiniyam ki khas bat yah hai ki har baccha class 8 tak free education prapt kar sakta hai.
Is adhiniyam se baccho ko kaise madad milegi ? ( How does this Act help Children?)
- 6 saal se 14 saal trak ke sabhi baccho ko pass ke governemt school ya Aided school mein class 1 se class 8 tak free education provide karai jayegi.
- Jin baccho ko padhne ke liye school nahi mila ya jinhone school drop kar diya tha ve school wapas aa sakte hai. Ve apni age ke anusar suitable class mein admission le sakte hai.
- Jo baccha kisi tarah se garib hai ya vanchit hai, to wah private school mein class 8 tak free education ke liye admission le sakta hai.
- Yadi baccho ke pass transfer certificate ya age proof document nahi hai, to bhi baccho ko school mein admission diya jana chahiye.
- baccho ko school mein admission pane ke liye test dene ke liye majboor nahi kiya jayega.
- School ke dwara baccho ko school chodhne ke liyue nahi kaha jayega.
- Class 8 complete karne ke tak, baccho ko class repeat karne ke liye majboor nahi kiya jayega.
- School mein baccho marna ya harass karna illegal hoga.
Baccho ko ek private school mein free education kaise mil sakti hai ?
- Disadvantage group aur weaker section ke baccho ko private school mein free education prapt kar sakte hai.
- Har ek private schools ko class 1 ki apni 25% seat khali rakhni hogi taki disadvantage group aue weaker section ke bacccho ko admission mil sake.
- Class 8 tak in baccho ko free education deni hogi.
- Centrel Government aur State Government ne rule jari kiye hai jinme additional aur modified requirement ho sakti hai, jo ki school dwara follow kiya jana chahiye.
No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।