Kya hai vidya lakshmi education loan scheme aur kaise apply kare- What is vidyalakshmi education loan and how to apply
www.lawyerguruji.com
Hello friends,
Aaj is post mein aap sabhi ke liye ek aur Government ki Scheme lekar aya hu, Yah scheme hai " Vidya Lakshmi Education Loan".
To chaliye ab hum jante hai " Vidya Lakshmi Education Loan"
Kya hai Vidya Lakshmi Educational Loan ?
Vidhya Lakshmi Education Loan Portal Scheme 15-august-2015 ko financial minister Shri Arun Jaitley ke dwara is scheme ki ghoshana ki gyi thi. Vidya Lakshmi Education loan Portal ko Ministry of Human Resource Development Government of Indian ke dwara shuru kiya gya. Is portal ka main aim Student ko scholarship ke liye ek platform pradan karta hai. Is portal ki help se jis student ko scholarship ya education loan ki jarurat hai, wah student is portal pa jaa kar scholarship ya Education Laon ke liye apply kar sakta hai. Student Education loan ke liye is portal par ja kar apply kar sakta hai. aur is portal ke madhyam se student apne education loan ke application ko track bhi kar sakta hai.
Is portal ke madhyam se student apne education ke liye laon asani se le sakte hai.
Is portal ka mool uddeshya kya hai ? ( Objective of this Portal ( Vidya Lakshmi Education Loan)
Is scheme ka mool uddeshya yah hai ki Educational Loan dena, is portal ke madhyam se student apne education ke liye loan asani se apply kar paye, taki kisi bhi student ki study beech mein hi dhan ke kaarn na ruk jaye. Yah portal un sabhi studnet ki help ke liye banaya gya hai, jinko education loan ki bahut jarurat hoti hai, yah education loan in student ki help karta hai, ki ve apni study puri kar sake aur jo unka aim hota hai wah usko hasil kar sake.
Is Scheme ke labh kya hai ? ( What are the benefit of Vidya Lakshmi Education Loan Scheme?)
- Students ko Bank ke Educational Loan scheme ki har ek janakri detail mein milti hai.
- Is portal ke madhyam se student ek hi form se educational loan ke liye various bank mein apply karne ka bhi pravdhan hai.
- Yah site National Scholarship portal ki janakri ke liye judi hai aur Government Scholarships ke liye apply kar sakte hai.
- Common Educational Loan Application form bhi student ke available hai.
- Student apne Education Loan ke application ka status kisi bhi time, place par badi asani se dekh sakte hai, kyoki yah portal dashborad ki suvhidha bhi pradan karta hai.
- Yadi student ko education loan se sambandhit koi problem hoti hai, to wah bank ko e-mail kar ke bhi inform kar sakte hai.
- Bank khud education loan processing status ko upload kar deta hai.
- Bank khud student ke education loan application form ko download karta hai.
Un bank ke name jo is Online Portal se judi hai, jinme student loan ke apply kar sakte hai.
- SBI.
- IDBI.
- Bank of India.
- Canara Bank.
- Union Bank of India.
- Corporation Bank.
- Dena Bank.
- Punjab National Bank.
- Punjab and Sindh Bank.
- Oriental Bank of Commerce.
- Central Bank Of India.
- Kotak Mahindra Bank.
- Vijaya Bank.
Ye to maine aap sabhi ko "Vidya Lakshmi education loan ke bare mein bataya hai, ki kya hai ye vidya lakshmi education loan ? aur iska mukhya uddeshya kya hai? aur iske labh ke bare mein.
To, chaliye jante hai, Educational Loan ke liye apply kaise kare.
Vidya Lakshmi Education Loan Scheme se Education Loan ke liye apply kaise kare?
Education Loan apply karne ke liye bahut asan sa tarika hai, jo ki hum aaj appko batane jaa rahe hai.
par jana hoga Sabse pahle aapko is portal par self register karna hoga. Registration ki link mene de di hai jo ki upar blue color mein likhi hui hai, bas aapko is par click karna hoga aur aap direct registration ki window par chale jayenge. aapke samne kuch aisi window open hogi jisme aapse aapki information mangi jayegi, yaha mangi gyi information aapko bilkul sahi bharni hai.
- Student ko apna Name sahi fill karna hoga, uske College, school aur identity card ke hisab se, jo waha likha hai.
- Student ke yadi khud ka mobile phone hai, to wah apna number fill karega ya nahi to apne parents ka mobile number fill karega.
- E-mail id student apni khud ki fill karega, taki koi bhi information portal dwara usko isi e-mail id se di ja sake.
- student ko password badi savdhani se dalna hoga.
- uske baad i agree box par tick karna hoga aur form ko sumbmit karna hoga.
- Form submit karne ke baad student successfully registered ho jayega aur student ke mobile number pr confirmation message aa jayega.
2. Sign-up ho jane baad student ko apne user name aur password ke madhyam se log-in karna hoga. log-in karne ke Student ko Common application form jo ki Common Education Loan application form ko referred karega, is form ko student dwara puri savdhani se fill kiya jayega. Is form mein education loan ke liye Indian Bank Association ke liye prescribed kiya gya hai, lekin yah sabhi bank ko accept karta hai.
3. Students ko ek advantage aur bhi diya gya hai, wah ek time mein 3 banks mein apply kar sakte hai.
4. Har bank ka apna rate of interest alag hoga unke bank rules ke anusar.
5.Eligibility criteria ke aadhaar par, portal khud various scheme ko suggest karta hai, jiske liye student eligible hai.
6. Student apni requirement, eligibility, convenience ke anusar educational loan ka choose kar sakte hai.
7.Ek baar jab student successfully registred ho jayega aur Common Education Loan Application Form fill kar deta hai, to student ko uske dwara apply kiye education loan ke bare mein portal par uske loan approval ya disapproval ke bare mein information update kar di jayegi.
8.Yadi Student ke education loan form application ko bank approve kar deti hai, to education loan ka total amount directly bank account mein transfer kar diya jayega.
9. Yadi Student ke education loan ko bank ke dwara disapprove kar diya jata hai, to student direct bank se khud contact karna hoga, ki kis reason se education loan disapprove hua hai.
10. Student apne loan status par ONHOLD UPDATE bhi pa sakte hai, jiska matlab yah hai, ki bank aapse kuch aur information ki jarurat hai. jiska ullekh remark column mein kiya jayega.
11. Scholarship processing ke E-mail aue SMS alert bhi generate kiye jayenge.
12. Adhik janakri ke liye student official website ke contact information par call kar ke information apne according puch sakte hai.
TOLL- FREE - (022) 24 99 4200
FAX- (022) 2497 6351
E-MAIL ID: vidyalakshmi@nsdl.co.in
No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।