www.lawyerguruji.com
Hello Friend's,
Aaj ke is postm mien aap sabhi ko Aruna Ramchandra Shanbaug ke case ke bare mien batayenge. Apko kya lagta hai ki India mein sirf Aruna ke liye hi aisa kiya gya, HUm aapko Aruna ke alawa un sabhi logo ke bare mein batane ja rahe hai jihone court se iccha mrityu ki mang ki thi, jo ki court ke kharij kar di gyi thi.
Iccha mrityu ke is nirnay ne Marej ke thik na hone ki halat mein marej aur uske parivar walo ko rahat pradan karte huye special condition mein iccha mrityu ki anumati di hai.
Issay pahle 26 april, 1994 ko Supreme court ki 2 judge's ki bench ne bhi Iccha mrityu ka smarthan karte huye Indian Penal Code ke section 306 jo ki Attempt to suicide ke bare mien hai usko unconstitutional karar diya tha, Bench ne kaha ki constitution ke Article 21 jo ki jine ke adhikar ke bare mein pravdhan karta hai, usmein mrne ka adhikar bhi fundamental right ke roop mein nihit hai.
Lekin Iske 2 saal baad 21 march, 1996 ko 5 judge's ki Constitutional bench ne is case ke mamle is nirnay ko palatte huye kaha ki iccha mrityu aur kisi ki help se Suicide dehs mein illegal hai.
Chaliye ab hum baat karte hai un logo ki jinhone Iccha mrityu ki court se mang ki thi .
1. Aruna Ramchandra Shanbaug.-
Aruna Ramchandra shanbag ki life us din barbaad ho gyi jis din mumbai ke KEM hospital mien Dog research laboratory mein aruna ke sath hospital ke ek karmcahri jo ki hospotal ka ward boy tha usne rape karne ki kosis ki.
Hospital mein Sohanlal jo ki ward boy tha uski chori pakdi gyi jiski shikayat Aruna ne hospital Management se kar di ki, sohanlal kutto ko khane ke liye diye jane wale meat ki chori karta hai. Is shikayat ke kiye jane se sohanlal ko bda gussa aya aur usne is shikayat ka badla lene ke liye aur rape karne se nakaam hone par usane 27 November 1973 ko hospital mein hi kutto ko bandhne wali janjeer se Aruna ka gla ghot diya par Aruna ki mrityu nahi hui par uske dimag tak oxygen pahuchna band ho gya jiska natija yah hua ki Aruna Ki body sunn pad gyi jiske kaaran Aruna coma mein chali gyi. 42 saal tak aruna hospital ke bed par rahi. Unki yah gambhir aur najuk halat dekh kar hospital ki nurse Pinki Virani ne 2011 mein Supreme Court mien dya mrityu ( Mercy death) ki petition dayar ki. Court ne is petition ko kharij kar diya. Baad mein 18 may 2015 ko 66 saal ki age mein Aruna Ramchandra shanbag ne is Sansar se alvida le liya.
2. Denish.-
kanya kumari mein rahne wale ek vyakti ne apne 6 saal ke bacche ke liya dya mrityu ki court mein arji lagai thi jiska naam Denish hai. Jisko ek bimari ho gyi jiska naam Bone Syndrome hai. bacche ki aisi halat Birth ke time ilaj mein hui laprwahi se usko yah bimari ho gyi. Aise mein denish ka pita uski is painful condition ko nahi dekh pa rha tha, aise mein usne court se dya mrityu mange ka nirnay liya. Denish ke pita ne dya mrityu is liye mangi iski do vajah thi pahla wah apne bacche ki is halat ko nhi dekh sakta hai. Dusri vajah yah thi ki denish ke pita itna nahi kamate ki wah uske ilaj ka kharcha utha sake. AIM ke doctor's ne prathmik janch mein hi apne hath khade kar liye the. Denish ek dead brain baccha hai, jo ki na to uth sakta hai aur na ho kuch bol sakta hai. Denish ki dya mrityu ki arji 2013 mein kharij kar di gyi thi.
3. Jeet narayan.-
Uttar Pradesh ke Mirja-pur jile ke rahne wale Jeet narayan ne apne char beto ( four son's) ke liye court mein dya mrityu ki arji dayar ki thi. Jeet Narayan ne apne char beto Durgesh(23), Servesh(20), Brijesh (18) aur Shusleel (16) ke liye iccha ki mrityu mangi thi. Unke char beto ko janlewa bimari ho gyi thi jiska naam "Muscular Dystrophy" namak rog se grashit they. Jeetnarayan ne apne jile har doctor se ilaj karvaya par uska koi asar nhi dikha. Doctoro ke anusar is bimari se grashit vyakti jada dino tak jivit nahi rahta hai. 25 saal se jada jina mushkil hota hai. Jeet Narayan se apne beto ki aisi halat dekhi nhi gyi aur usne court mein dya mrityu ki arji dakhil ki jo ki 2008 mein kharij kar di gyi thi.
4. Acid Attack Victim.-
Jharkhand ki rahne wali Acid Attack victoim ek ladki ne apne liye iccha mrityu ki mang court se ki thi, usne petition dayar kar yah mang ki thi ki usko iccha mrityu di jaye ya to fir uski skin ke reconstruction ke liye medical treatment ki help ki jaye, kyoki acid attack ke kaaran se uski halat bahut kharab ho gyi thi ,wah sun nahi sakti thi, puri tarah se dekh bhi nahi paati t hi, kyoki acide attack ke kaaran uski eye, nose, aur full face puri tarah se jal gya tha. usne court se ilaj ki helo isliye mangi thi ki wah apne ilaj ke kharch ke liye utne paiso ka intjaam nahi kar pa rhi thi. In sabhi kaarano se usne sarkar se mang ki ya to ilaj ke liye usko financial help ki jaye ya to iccha mrityu di jaye.

Marte hai arju mein marne ki,Mirza galib ke is sher ka ullekh karte huye Justice Markandeya katju aur Justice Gyan Shudha MIshra ki bench ne 2011 men Aruna Shanbaug ke mamle mein sunvai karte huye Passive euthanasia ki anumati di thi. Baad mein Parliament se Indian Penal Code ke section 306 jo ki Attempt to Suicide ke bare mien hai, usko khatm karne ki shifaris ki tih. Ab ja kar 6 saal baad supreme court ne iccha mrityu ki anumati de di hai, Aruna Shanbaug ka case ahem sabit hua hai.
Mout aati hai par nahi aati,,
Iccha mrityu ke is nirnay ne Marej ke thik na hone ki halat mein marej aur uske parivar walo ko rahat pradan karte huye special condition mein iccha mrityu ki anumati di hai.
Issay pahle 26 april, 1994 ko Supreme court ki 2 judge's ki bench ne bhi Iccha mrityu ka smarthan karte huye Indian Penal Code ke section 306 jo ki Attempt to suicide ke bare mien hai usko unconstitutional karar diya tha, Bench ne kaha ki constitution ke Article 21 jo ki jine ke adhikar ke bare mein pravdhan karta hai, usmein mrne ka adhikar bhi fundamental right ke roop mein nihit hai.
Lekin Iske 2 saal baad 21 march, 1996 ko 5 judge's ki Constitutional bench ne is case ke mamle is nirnay ko palatte huye kaha ki iccha mrityu aur kisi ki help se Suicide dehs mein illegal hai.
Chaliye ab hum baat karte hai un logo ki jinhone Iccha mrityu ki court se mang ki thi .
1. Aruna Ramchandra Shanbaug.-
Aruna Ramchandra shanbag ki life us din barbaad ho gyi jis din mumbai ke KEM hospital mien Dog research laboratory mein aruna ke sath hospital ke ek karmcahri jo ki hospotal ka ward boy tha usne rape karne ki kosis ki.
Hospital mein Sohanlal jo ki ward boy tha uski chori pakdi gyi jiski shikayat Aruna ne hospital Management se kar di ki, sohanlal kutto ko khane ke liye diye jane wale meat ki chori karta hai. Is shikayat ke kiye jane se sohanlal ko bda gussa aya aur usne is shikayat ka badla lene ke liye aur rape karne se nakaam hone par usane 27 November 1973 ko hospital mein hi kutto ko bandhne wali janjeer se Aruna ka gla ghot diya par Aruna ki mrityu nahi hui par uske dimag tak oxygen pahuchna band ho gya jiska natija yah hua ki Aruna Ki body sunn pad gyi jiske kaaran Aruna coma mein chali gyi. 42 saal tak aruna hospital ke bed par rahi. Unki yah gambhir aur najuk halat dekh kar hospital ki nurse Pinki Virani ne 2011 mein Supreme Court mien dya mrityu ( Mercy death) ki petition dayar ki. Court ne is petition ko kharij kar diya. Baad mein 18 may 2015 ko 66 saal ki age mein Aruna Ramchandra shanbag ne is Sansar se alvida le liya.
2. Denish.-
kanya kumari mein rahne wale ek vyakti ne apne 6 saal ke bacche ke liya dya mrityu ki court mein arji lagai thi jiska naam Denish hai. Jisko ek bimari ho gyi jiska naam Bone Syndrome hai. bacche ki aisi halat Birth ke time ilaj mein hui laprwahi se usko yah bimari ho gyi. Aise mein denish ka pita uski is painful condition ko nahi dekh pa rha tha, aise mein usne court se dya mrityu mange ka nirnay liya. Denish ke pita ne dya mrityu is liye mangi iski do vajah thi pahla wah apne bacche ki is halat ko nhi dekh sakta hai. Dusri vajah yah thi ki denish ke pita itna nahi kamate ki wah uske ilaj ka kharcha utha sake. AIM ke doctor's ne prathmik janch mein hi apne hath khade kar liye the. Denish ek dead brain baccha hai, jo ki na to uth sakta hai aur na ho kuch bol sakta hai. Denish ki dya mrityu ki arji 2013 mein kharij kar di gyi thi.
3. Jeet narayan.-
Uttar Pradesh ke Mirja-pur jile ke rahne wale Jeet narayan ne apne char beto ( four son's) ke liye court mein dya mrityu ki arji dayar ki thi. Jeet Narayan ne apne char beto Durgesh(23), Servesh(20), Brijesh (18) aur Shusleel (16) ke liye iccha ki mrityu mangi thi. Unke char beto ko janlewa bimari ho gyi thi jiska naam "Muscular Dystrophy" namak rog se grashit they. Jeetnarayan ne apne jile har doctor se ilaj karvaya par uska koi asar nhi dikha. Doctoro ke anusar is bimari se grashit vyakti jada dino tak jivit nahi rahta hai. 25 saal se jada jina mushkil hota hai. Jeet Narayan se apne beto ki aisi halat dekhi nhi gyi aur usne court mein dya mrityu ki arji dakhil ki jo ki 2008 mein kharij kar di gyi thi.
4. Acid Attack Victim.-
Jharkhand ki rahne wali Acid Attack victoim ek ladki ne apne liye iccha mrityu ki mang court se ki thi, usne petition dayar kar yah mang ki thi ki usko iccha mrityu di jaye ya to fir uski skin ke reconstruction ke liye medical treatment ki help ki jaye, kyoki acid attack ke kaaran se uski halat bahut kharab ho gyi thi ,wah sun nahi sakti thi, puri tarah se dekh bhi nahi paati t hi, kyoki acide attack ke kaaran uski eye, nose, aur full face puri tarah se jal gya tha. usne court se ilaj ki helo isliye mangi thi ki wah apne ilaj ke kharch ke liye utne paiso ka intjaam nahi kar pa rhi thi. In sabhi kaarano se usne sarkar se mang ki ya to ilaj ke liye usko financial help ki jaye ya to iccha mrityu di jaye.
No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।