Bar Council of India dwara advocate's par anya niyojano par pratibandh lagaye gyi hai -Bar council of India imposed some restriction on advocates other employment
www.lawyerguruji.com
Hello friends.
Aaj yah post mein khas advocates ke liye likhne jaa rha hu aur un logo ke liye bhi jo iski jankari rakhna chahte hai. Har job karne wala vyakti apna kuch alag se business to kar sakta hai, lekin Bar council of India dwara advocates par kuch dusre prakar ke business ko karne par advocates pratibandh lagaya gya hai.
Bar Council of India ke apne rule and regulation hai, jinka palan karna har advocates ki duty hoti hai, ki ve us rule aur regulation ka ullanghan nahi karnege.
Aaj mien aap sabhi ko Bar Council of India ke rule 47 se rule's 52 ke bare mein batane ja raha hu, akhir kis prakar ke employment par rok lagayi gyi hai.
Rule 47 to 52 of the Bar Council of India.
1. Rule 47 of B.C.I - Rule 47 ke anusar advocate kisi business mein vyaktigat roop se nahi lagega, lekin wah kisi firm mein inactive partner ho sakta hai, lekin upyukt State Bar Council ke vichar mein business ya trading ke nature legal profession ke samman (respect) ke praticool (unfavorable) nahi hona chahiye.
2. Rule 48 of B.C.I - Rule 48 ke anusar advocate kisi company ka Managing Director ya Secretory nahi ho sakta hai. Advocate normal fees ke bina ya uske sath kisi company ke borad mein Manager ya Director ho sakta hai yadi uska kartavya (duty) karyapalak prakriti (executivr nature) ka nahi hona chahiye.
3. Rule 49 of B.C.I- Rule 49 ke anusar koi bhi advocate kisi vyakti, Government, Firm, Corporate mine full time salaried employee us time tak hi rah sakta hai jab tak ki wah practice karta hai is prakar ki job accept karne par wah is baat ki soochna us Bar council ko dega jis state ke Bar Council ke advocate enrollment register mein uska name register hai. Uske baad wah advocate ke roop mein us time tak practice nahi karega jab tak wah aisi job mein rahega ya kaam kar raha hoga. Lekin yah rule State Government or Central Government ya Corporate body ke legal officer ke sambandh mein lagu nahi hoga jo ki full time salaried employee hone ke uprant bhi Advocate Act, 1961 ke section 28(2) (d) sapathit dhara 24(1) (e) ke antargat "legal officer" ki definition di gyi hai, Is nimitt legal officer ka mtlab us vyakti se hai employee ki condition ke anusar aisa Designation diya gya hai aur aisi condition ke antargat employee ki taraf se court mein kaam kakrne athwa abhivachan (Pleading) karne ki ussay upeksha ki jaati hai.
4. Rule 50 of B.C.I - Rule 50 ke anusar yadi kisi advocate ko virasat mein ya uttra-adhikar (Successor) ke roop mein business milta hai to wah aise business ko jaari rakh sakta hai, lekin us business ya trade ko ke prabandh ( management) ke liye vyakti-gat roop se bhag (participate) nahi le sakta hai. Aise business mein wah kisi dusre ke sath hissa (share) banaye rakh sakta hai, lekin uske management mein vyaktigat roop se partner nahi ban sakta.
5.Rule 51 of B.C.I - Rule 51 ke anusar advocate remuneration hetu Parliamentary legislator ka punarvilokan, vetan par legal textbook ka publication aur newspaper ke liye press vetting kar sakta hai. Iske alawa wah law exam ke liye student ko padha (teach) bhi kar sakta hai aur questioner bhi taiyar kar sakta hai aur checking bhi kar sakta hai. Iske sath hifulltine emplouyee aur advertising ke khilaf banye gaye rule ke adheen rahte huye wah broadcasting mein engaged ho sakta hai, subject pae lecture de aur padha bhi sakta hai.
6.Rule 52 of B.C.I -Rule 52 ke dwara yah clear kar diya gya hai ki State Bar Council se permission le lene ke baad in rule mein kuch bhi aisa nahi hai jo ki ksis advocate ko Part-time job accept karne se roka jaye lekin State Bar Council ke vichar mein job ka nature uske professional work ke khilaf mein na ho aur iske sath hi legal professional ke sammam (respect) ke praticool nahi hona chahiye. Yah rule Bar Council of India ke dwara time to time banaye gaye rule ke adhyadheen hai.

No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।