lawyerguruji

Indian Partnership Act,1932 ke anusar Dissolution of Firm kya hai

www.lawyerguruji.com

Hello, friend's har vyakti apna business karna chahta hai, jiske liye wah ek company open karta hai, jisme wah capital lagata hai aur busiess start karta hai taki profit mil sake. Aaj is post mein hum baat karne ja rahe hai kisi bhi firm ka end matlab dissolution kab hota. Simple language mein bole to kah sakte hai ki koi firm band kab hoti hai.
Dissolution of firm ka matlab yah hai ki jab kisi bhi firm ke Partnership break ho jati hai to yah mana jata hai ki firm ka dissolution ho gya hai.
 Indian Partnership Act, 1932 ke anusar Dissolution of Firm kya hai ?

Indian Partnership Act,1932 ke anusar Section 40 se lekar Section 44 tak firm ke dissolution ke prakar ke bare mein bataya gya hai.
Jaha kisi partnership firm mein do partner hai, yadi unme se kisi ek ki mrityu ho jati hai, to firm samapt (end) ho jati hai, kisi dusre vyakti ko partnership ke roop mein shamil kiye jane ke liye astitv mein nahi rahti hai.

Ab hum baat karenge un Ground's ke bare mein kab ek Partnership firm ka end hota hai.

  1. Section 40 - Dissolution by agreement.
  2. Section 41 - Compulsory Dissolution. 
  3. Section 42 - Contingent dissolution. 
  4. Section 43 - Dissolution by notice.
  5. Section 44 - Dissolution by court.
1.Section 40 - Dissolution by agreement - Kisi bhi firm ka ant us firm ke partner's ke agreement ke adhar par bhi ho sakta hai.Yadi firm ke partner's mutual consent ke adhar par firm ko samapt karne ka agreement karte hai to form ko samapt kar sakte hai.

2. Section 41 - Compulsory dissolution - Koi bhi firm ka samapan tab ho jata hai jab:-
  1. Us firm ke sabhi partner's jab diwaliya ho jate hai.
  2. Jab kisi firm ka karobar chalana ya partner's ka us firm ko partnership mein chalana vidhi virudh ho jaye.
3. Section 42 - Contingent  dissolution - Partner's ke beech huye contract ke adhar par bhi firm ka dissolution ho sakta hai.
  1. Jab ek  firm kisi niyamit kaam ko pura krne ke liye banti hai aur partner ke beech yah contract hota hai ki us kaam ke pure ho jane par contract ke anusar firm ka samapan kar diya jayega.
  2. Jab ek firm Fixed time ke liye banti hai jaise ki time contract mein  likha hua hot hai, us time ke pur ho jane ke baad firm ka samapan kar diya jata hai.
  3. Yadi partnership firm mein kisi partner ki mrityu ho jati hai.
  4. Yadi firm ke kisi partner ko court dwara diwaliya ghoshit kar diya jata hai .
4. Section 43 - Dissolution by Notice - Yadi koi partner firm ko dissolve karna chahta hai, to aise mein us partner ko notice deni hoti hai un reason ki bhi likhna hota hai jinke adhar par firm ke dissolution ki mang karta hai.

5. Section 44 - Dissolution by court - Court dwara kisi bhi firm ka samapan tab hota hai us firm ka koi partner court mein us company ke virudh mukadma ( litigation) darj karta hai, court nimn likhit adhar par samapt kar sakti hai.
  1. Yadi koi partner unsound mind ho jata hai, to aise mein us firm ko age chalana bda mushkil ho jata hai to aise mein us unsound mind dwara firm ka dissolution nahi ho sakta, to aise mein us firm ke other's partner ke dwara court mein case darj kar firm ka dissolution ho sakta hai.
  2. Yadi koi partner permanently incapable ho jata hai jiske karn wah firm ki duty ko pura nahi kar pata hai , to aise mein firm ke other partner's court mein mukadma darj kar firm ka samapan karva sakte hai.
  3. Yadi kisi partner dwara koi aisa kaam kiya jata hai jiske karn firm ke other's partner's ko financial or physical harm hota hai, to aise mein firm ke other partner court mein case file kar firm ka dissolution karva sakte hai.
  4. Agreement document ek aisa document hota hai, jo ki firm ke sabhi partner's dwara usay follow kiya jana bahut jaruri hota hai, Yadi company ke regarding agreement kisi bhi partner dwara break kiya jata hai, to aise mein other partner's agreement ke break hone ke adhar mein court mein case file kar firm ka dissolution ho sakta hai.
  5. Jab koi partner firm ke share/interest ka apna pura hissa permanently kisi third party ko transfer kar deta hai, to yah ek firm ke dissolution ka adhar ho sakta hai. Ya apne sahre ko Civil Peocedure Code 1908 ( 5 of 1908) ke First Schedule ke order 21 ke rules49 ke adheen bharit ho  jane diyahai. ya apne dwara sodhya bhu rajasv ki bakaya ki ya bhu rajasv ki bakatya ke roop mei vasooli ya kinhi sodhyo ki vashooli mein bik jane diya hai.
  6. Yadi firm lgatar nuksan me chal rahi to, is adhar par firm court dwara dissolve ki ja sakti hai.

No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.