Gadi ki number plate par A/F kyo likha hota hai ? -What is the meaning of A/F written on the vehicle number plate
www.lawyerguruji.com
Hello friend's,
Aaj is article mein baaty karne ja rha hu gadi par likhe hue A/F in do word ke bare mein, kya hota hai iska matlab, aur ye do word A/F kyo aur kab likha jata hai. Iska matlab kya hai aur yahi kyo likha jata hai. Aapke sare sawal ke jawab aaj is article mein aapko mil jayenge.
Aap log jab koi new vehicle dekhte hai, to aksar usme A/F yah likha hua jarur milta hai. jiska matlab abhi bhi kai log nahi jante hai.
Gadi ki number palte par kyo aur kab A/F likha hota hai ?
Motor vehicle Act 1988 ke antargat har vehicle ka registration karvana anivarya hai, chahe vehicle old ho ya new registered hona bahut jaruri hai. Bina vehicle registration vehicle ko chalana illegal hota hai. Jab koi bhi vyakti vehicle show room se new bike ya car purchase karta hai, to usko ek temporary number diya jata hai. Yadi kisi gadi ko yah number nahi diya jata hai, to aise mein uski gadi ke number plate mein A/F ka ek sticker chipka diya jata hai.Jiska Matlab hota hai, "Applied for " matlab yah hai ki gadi ke maloik ne gadi ke new number keliye RTO mein apply kar diya hai jab tak gadi ka permanent number nahi mil jata hai tab tak vah apni gadi ki number plate par A/F likhwa sakta hai.
Gadi par kitne time tak A/F likha ja sakta hai ?
Jab aap koi new vehicle purchase karte hai to RTO se number lene mein kuch time lagta hai. TO aise mein aap Apni gadi mein A/F likhte hai, jiska matlab yah hai ki gadi registration ke liye apply kar di gyi hai. Yadi aap A/F likhi hui gadi ko 1 week se jada chalate hai ,to aisa karna illegal hai kyoki Apke Area ke transport officer RTO ne apko A/F likhne ki suvidha kewal tab tak di hai jab tak apki gadi ka permanent number na mil jaye. Jise hi apko permanent number milta hai, to uske baad apko A/F ki jagah RTO dwara diye gaye permanent number ko likhwa lena chahiye.
Rule break karne par jurmana kitna hai ?
Motor vehicle Act 1988 ke anusar har vehicle ka registered hona bahut jaruri hai, yadi koi bina registered vehicle ko chalata hai ,to vah jurm karta hai. Central Motor Vehicle Rule (CMVR) bina gadi ke registration karye bina kisi ko vehicle driving ki anumati nahi deta hai. A/F likh kar bhi vehicle drive karna bhi apradh ki category mein ata hai.
Kai logo ke man mein yah galat fehmi hoti hai, ki vah lambe time tak apne vehicle mein A/F likh kar vehicle drive kar sakte hai aur police unhe kuch bhi nahi bolegi , parantu yah soch galat hai. Yadi aap bina number ki gadi chalate hue pakde jate hai ,to aise mien Aapko 10,000 rs jurmana bhi dena ho sakta hai aur aapko gadi bhi jabt (seal) ho sakti hai.

No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।