lawyerguruji

Consumer Court mein shikayat kaise kare ? - How to file complaint in Consumer Court?

www.lawyerguruji.com

Hello Friend's,
 Aaj is post mein aap  sabhi ko apse jude apke kuch adhikaro ke bare mein batane ja rahu jaise aaj hum baat karenge Consumer's ke adhikaro ke bare mein. Yadi aap koi bhi saman dukan ya kisi market ya show room se koi bhi saman kharidte hai aur us saman mein koi kharabi aati hai, to aise mein aap iski shikayat consumer court mein kar sakte hai.
 Duniya mein lagbhag har ek minute mein har ek vyakti koi na koi saman kharidta hai, chahe vah khane ka saman ho ya fir dress ho ya electric ka saman. Ab aaj kal online shopping ka bhi craze badh sa gya hai, har vyakti online hi shopping karna asan aur saral samjhta hai, ab aise mein vah saman kharab nikal aata hai, to hume yah pareshani (Problem) hoti hai ki vah saman hum kaise badle aur kai bar saman ko badlne mein ye dukan dar chahe offline wale ho ya online wale saman ko badlne mein ya sahi karvane se mna bhi kar dete hai.

Consumer Court mein shikayat kaise  kare ? ( How to file complaint in Consumer Court?)


Aise dukandaro se consumer's ko bachane ke liye Sarkar nein  Consumer Protection Act,1986 lagu kiya,
Yadi consumer kisi bhi dukan se koi saman kharidta hai aur vah saman kharab nikalta hai, to aise mein vah consumer , consumer court mein is samaan (product) se sambandhit shikayat kar apna smadhan kar sakta hai.
In sabse pahle hum jan lete hai, ki
Consumer kaun hota hai?
Consumer vah har ek vyakti hota hai, jo ki kisi bhi dukan se samaan kharidta hai aur uske badle mein rupya deta hai. Samaan kharidne wale ko consumer kahte hai, aur samaan bechne wale ko shopkeeper  ( dukaan dar) kahte hai.

Consumer Forum kya hota hai ?
Consumer Forum ek government organisation hai, jiska kaam Seller aur buyer ke beech huye dipsute ko solve karna hota hai, vah bhi apne legal tarike se. Jahan koi bhi consumer kisi shop se saman kharidta hai aur saman mein kisi bhi prakar ki koi kami aa jati hai, aur dukan dar ke us saman ko na badlne par consumer shopkeeper ke khilaf consumer forum mein shikayat kar sakta hai.
Consumer Forum ko Consumer Court bhi kaha jata hai. Ye Consumer court teen level par open kiye gaye hai.
  1. District level consumer court.
  2. State level consumer court.
  3. National level consumer court.
In 3 level ke court apne level wise kaam karte hai, Yadi district level par shikayat karni hoti hai, to aise mein consumer ko district consumer court mein shikayat karni hoti hai.
Yadi  State level par shikayat karni hoti hai, to State consumer court aur National level par shikayat karne ke liye National consumer Court mein shikayat karni hoti hai.

Jab bhi aap koi samaan kharidte hai to jadatar dukandar, Company, Dealer, Ya service provider apne fayede (Profit) ke liye apko dhokha ( Cheat) de sakte hai. Jaise khane ke saman mein milawat, nakli saman dena aadi jaise kaam.  Jab aap aise dukan daro ke paas jakar iski shikayat karte hai to yahi dukan dar, Company, dealer aur service provider ansuni kar dete hai, To aapke pass aise mein ek hi upchar kaam aata hai vo bhi ki ab aapko consumer forrum mein hi iski shikayat karni hoti hai.

Consumer Forum , Minister of Consumer Affair, Food and Public Distribution .

Shikayat kiske khilaf ki ja sakti hai ?
Shikayat kewal usi ke khilaf hi ki ja sakti hai, jo ki saaman ko bechne ka kaam karte hai jinhe hum Aap sabhi kai name se jante hai jaise:-
  1. Shopkeeper.
  2. Company.
  3. Dealer.
  4. Service Provider.
Shikayat kaun kar sakta hai ?
 Shikayat vo har ek vyakti kar sakta hai, jab vah kisi bhi dukan se saman kharidta hai, to aise mein vah consumer ban jaata hai.
Vah consumer jo ki saman kharidta to, hai par saman ke kharab ho jane par dukan dar ke dwara uski shikayat ka samadhan nahi hota.

Shikayat mein kya hona chahiye ?
  1. Shikayat mein Shikayat-karta us shikayat se sambandhi puri janakri likhni hoti hai.
  2. shikayat -karta ko apna pura name, address, aur opposite party ka bhi pura name, address likhna chahiye.
  3. Shikayat kis aadhar par kar rha hai, uske smarthan mein Document ka bhi lagana bahut jaruri hota hai jaise: Cash memo, Bill, Receipt, Agreement etc.
  4.  Aapko apni shikayat short mein puri clear likni chahiye.
  5. Yadi kisi ghatna se jude Refusal ya formal request etc. document ke hone par bhi usko lga de.
  6. Forum mein shikayat darj  karane ke liye fees kewal naam ki hi lagti hai.Iske liye kisi advocate ki jarurat bhi nahi hoti.
  7.  kewal shikayat patr ( Complaint form) par shikayat-karta ko apne signature karne hote hai.
Consumer court mein shikayat kaise kare ? (How to file a complaint in consumer court ?)
  1. Jaisa ki  upar yah bataya gya hai, kaise shikayat likhe is prakar shikayat likhne ke baad uski 3 copy bna leni chahiye. In 3 copy mein se ek copy consumer office mein deni hoti hai aur ek copy opposite party ko jiske khilaf shikayat karni hoti hai. 
  2.  Postal ya demand draft ke dwara shikayat ki fees jam karni hoti hai.
  3. shikayat ke akhiri mein court se kya upchar mangna hai uska bhi ullekh kiya jana chahiye. Jaise: Saman ke badlaw ke bare mein, Nuksan ki bharpai ke bare mein, Mansik pareshani ke bare mein aur uski bharpai ke liye harjana, Mukadma ka kharch.
  4. Upchar likhna isliye bahut jaruri hota hai, kyoki isi ke aadhar par court upchar deti hai.
  5. Yadi upchar na likha gya to, aise mein court dwara giye gaye kisi bhi penalty ka opposite party dwara virodh bhi kiya ja sakta hai.
Shikayat kaha darj karaye ?
  1. Yadi saman ki kimat 20 lakh rs se kam hai, to aise mein District consumer court mein shikayat i ja sakti hai.
  2. Yadi saman ki kimat 20 lakh rs se 1 crore rs ke beech mein hai, to aise mein State consumer court mein shikayat ki ja sakti hai.
  3. Yadi saman ki kimat 1 crore rs se adhik hai, to aise mein National consumer court mein iski shikayat kar sakte hai.
  4. Consumer apni shikayat us district ke court mein kar sakta hai, jahan par seller, show-room ya  shop hai.
  5. Consumer apne hisab se apne aap pass ki court mein shikayat nahi kar sakta hai.
  6. Har consumer forukm mein ek file counter hota hai, jahan subah 10:30 se dophar 1:30 baje tak hi shikayat form jma kiya jata hai.
Shikayat karne ki fees kitni hoti hai ?
  1. 1 lakh rs ke mamle mein 100rs fees.
  2. 1 lakh  se 56 lakh ke mamle mein 200rs fees.
  3. 10 lakh tak ke mamle mein 400rs fees.
  4. 20 lakh rupees ke mamle mein 500rs fees.
  5. 50 lakh ke mamle mein 2000 rs fees.
  6. 1 crore ke mamle mein 4000 rs fees.
Court ke adesh ka palan na karne par kya hota hai ?
Yadi court opposite party ko yah adesh deta hai, jaise ki consumer ke dwara shikayat patr mein upchar manga gya tha, aur is adesh ka yadi opposite party dwara palan nahi kiya jata haim to aise mein 10,000 rs ka fine aur 3 saal ki jail ki sja bhi ho sakti hai. Sja hone ke bad bhi adesh ka palan karna baki rahta hai, to aise mein jarurat ke hisab se adesh ka palan karvane ke liye property bhi jabt ki ja sakti hai.


No comments:

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.