Hello friend's,
Aaj is post mein aap sabhi ko Indian Partnership Act 1932, ke bare mein batane ja rha hu, ki yadi kisi Firm, Company ya Factory mein 2 ya 2 se jada Partner hote hai, to aise mein un partner's ke kya adhikar honge.
Bhagidaro ke adhikar ( Right's of Partner's )
Kisi bhi company, firm ya factory ke Partner's ke beech adhikar (right) aur kartavya (duty) unke beech huye agreement dwara hi decide hote hai. Bhagidar apne adhikar aur kartavya ka nirdharan bhagidar lekh (Partnership deed) dwara hi karte hai, lekin Indian Partnership Act, 1932 ke antargat Firm ,Company ya Factory ke Partner's ko aur bh kuch adhikar diye hai.
1. Vyapar mein hissa lene ka adhikar. ( Right to take part in Business).
Indian Partnership Act, 1932 ke section 12 (a) ke anusar Company aur Firm ke har ek partner's ko yah adhikar diya gya hai, ki vah Company ya Firm ke business operation mein hissa le sakta hai. Is adhiniyam ki dhara ke antargat diye gaye adhikar ka istemal Firm ya Company ke interest ke liye hi kiya jana chahiye n ki Firm ya Company ko nukasn pahuchane ke maksad se. Partnership deed mein agreement ke dwara kisi bhi partner's ko usko is is adhikar se vanchit nahi kiya ja sakta hai.
2.Bhagidari ka nirnay (decision) bahumat se karne ka adhikar.( Right to get decisionby majority).
Indian Partnership Act, 1932 ke section 12 (c) ke anusar yadi kisi Firm ya Company mein kisi bhi parakr ka koi bhi matbhed ( dispute) in partner's ke beech hota hai, to aise mein in matbhed (dispute) ko bahumat ( majority ) ke aadhar par hi solve kiya jayege.
Partner's ke beech dispute's 2 prakar ke ho sakte hai.
- Samanaya mamlo mein ( General way).
- Moulik ya sarvan mamlo mein ( Substantial ).
- Yadi kisi partner k dwara Firm ya Company ke business ke general aur Reasonable operation mein uthai gyi kshatipoorti ke liye.
- Yadi partner's nein Firm ya Company ko kisi bhi prakar ke nuksan ( harm) se bachane ke liye Emergency mein koi karya karta hai, Jo ki ek normal mind wala vyakti aisi conditon mein karya karta hai.to aisa karte time us partner ko jo nuksan hota hai, uski kshatipoorti ki jayegi.
Kya tender ki bid security ke liye partnership firm ka keval ek partner bhi bid security aapne individual bank account se bid security laga sakta hai.
ReplyDelete