Hello,
Friend's aap sabhi ko aaj is post mein , me yah batane ja raha hu ki yadi apka vehicle chori ho jaye to uska insurance claim kaise kare taki aapko apni bike ka compensation mil jaye.vehicle chori ho jane ke baad hume sabse pahle kya karna chahiye.aaj hum apko pura process batane ja rahe kaise claim kare.
Hum aur aap aksar apne vehicle ko kahi bhi parking kar dete hai. Yadi hum kisi mall ya hospital ya Railway ki parking mein apne vehicle ko lagate hai to vahan hum ek receipt lete hai parking ki jo kuch time ke liye hoti hai.Yaha to safe ho sakti hai, but kai baar hum aisi jagah bhi jate hai jahan par parking ki suvidha (facility) nahi hoti hai aise mein vehicle ke chori hone ka daar hamesa bna rahta hai.
Agar aap ne apne vehicle ka insurance karvaya hai to aise mein aapko darne ki koi jarurat nahi hai, vehicle ke chori hone par aapko policy insurance claim karna hota hai.
Sabse pahle karna kya hai .
- Hume sabse pahle apne vehicle se related sabhi document ko collect kar lena chahiye. Taki First Information Report darj karvate time aap vehicle ki full information de sake aur yah claim kar sake ki vha vehicle apka hi hai.
- FIR- Vehicle ke chori hone ke baad Apko police station mein ja kar First Information Report darj karvani hoti hai. Report darj karvate time aapko pru detail mein yah batana hota hai ki vehicle kaha se chori hui, kab chori hui hai.
- Inform the RTO office-Aap apne area ke RTO office ko bhi inform kare ki aapki vehicle chori ho gayi hai jo kanooni roop se jaruri hai,Iske baad aapko RTO transfer paper dega.
- Insurance Company ko inform kare- vehicle ke chori hone ke 48 ghante ke under apne insurance company ko ya insurance agent ko vehilve chori hone ki jankari de. Uske puche jane par aapko apni insurance policy ka number batana hota hai.
- Document- First Information report darj karva kar uski original copy aur vehicle se related document ko aapko Insurance company ke office jana hoga. Document jaise : Driving licence, Vehicle Registration certificate jo ki aapko vehicle chori ho jane ke baad RTO se uski duplicate copy leni hogi. pollution Certificate, Insurance copy, Apna identity proof jaise voter ID, adhar card.
- Claim form- Insurance company ke office mein ja kar aapko vehicle ke chori ho jane par ek form lena hoga jisko aapko fil kar ke claim karna hoga. Is claim form aapko upar bataye gaye sabhi document ki copy lagani hoti hai. YE sab kar dene ke baad apko yah claim form insurance company office mein jma kar dena hota hai.Aur yah bhi malum kare ki koi kami to nahi hai.
- Get "No trace report"- FIR darj karwane ke baad police apke vehicle ko trace karti hai, yadi vehicle trace nahi kar pati hai,To aise mein police "No trace report banati hai jisme yah declare karti hai ki chori hui vehicle ko locate nahi kar pai ya us vehicle ki location nahi malum ho pa rahi hai. yah report police 1 mahine ke under bna deti hai.
- Yah no trace report vehicle ke chori hone ke baad insurance claim karne ke liye bahut jaruri hoti hai.
- Compensation- Jab ek bar yah confirm ho jata hai ki aapki vehicle chori ho gyi hai aur uski location malum nhi ho pai hai, To aise mein Insurance company ke agent to apki vehicle ka insurance karta hai vah ek specialist investigator hire karta hai vehicle ko trace karne ke liye.Is investigation mein report taiyar karne 60- 90 din tak ka time lagta hai.
- Surveyor- Insurance company aab apke ke liye ek surveyor hire appoint karti hai, Yah team apke vehicle chori hone ki puri report taiyar karti hai aur apse jo sawal puche uska aapko sahi jawab dena hota hai.
- Insurance company IDV ke anusar chori hui vehicle par compensation deti hai.
Related Post:
- Bail kya hoti hai aur ye kaise milti hai. ( What is bail and how to get bail)
- Vehicle road accident ke baad Insurance claim kaise kare.( How to claim insurance after vehicle road accident.)
- Ajamanatiya apradh ki dasha mein jamanat kab milti hai ? ( When we get bail in case of Non-bailable offence?)
- Police adhikari kab bina warrant ke giraftar kar sakta hai. (Arrest of person without warrant)
My innova car has been stolen.i have filed my papers for insurance claim but I m not having one key.so will my claim be rejected or will there be any penalty??
ReplyDeleteDid you report car theft ?
DeleteAnd about insurance claim wait for the response from insurance company side.
Chori ki fir me vehicle nhi milane par fr lagaane ke baad another thane me m/c mil jaye to kya karvaahi ki jaa
ReplyDeleteगाड़ी चोरी होने की एफ़आईआर दर्ज होने के साथ बीमा कंपनी को सूचित किया ?
ReplyDelete