www.lawyerguruji.com
आज के इस लेख में आप सभी को भारतीय दंड संहिता की धारा 376 क्या है और धारा 376 के अधीन किये गए अपराध पर सजा का प्रावधान क्या है ? इसके बताने जा रहा हु।
महिलाओ पर हो रहे बलात्संग जैसे गंभीर और जघन्य अपराध जो की उस महिला के मानसिक और शारीरिक दोनों रूप तोड़ देते है, उसकी लज्जा भंग हो जाती है और वह अपने को समाज की नजरो के सामने लाने में एक अलग सा महसूस करने लगती है।
लेकिन सरकार द्वारा कई ऐसे कानून पारित किये गए है जिसमे महिलाओं के मान और सम्मान और उन पर हुए अपराध के खिलाफ कड़ी से कड़ी सजा और जुर्माने का प्रावधान किया गया है। इन्ही में से एक है भारतीय दंड संहिता 1860 - जो की बलात्संग करने वाले व्यक्ति को दण्डित करने का प्रावधान करती है, जिसमे ऐसा करने वाले व्यक्ति को कठोर सजा के साथ दण्डित किया जायेगा और साथ ही साथ भारी जुर्माने के साथ भी दण्डित किया जायेगा। यह जुर्माना पीड़िता को उसके पुनर्वास और क्षतिपूर्ति के लिए दिया जायेगा।
तो चलिए इस धारा 376 को विस्तार से समझे।
Indian Penal Code 1860, Section 376 kya hai. (What is Section 376 of the Indian Penal Code)
Indian Penal Code 1860, Section 376 mein " Punishment for Rape" ko define kiya gya hai. aur is offence ki punishment ka bhi provision hai.
Indian Penal Code 1860, kya kahti hai Rape ke bare mein.
- Agar koi bhi male yadi kisi female ke sath forcefully physical realtionship banaata hai to vah rape hoga.
- Female ke sath ki gyi sexual activity ya malpractice bhi Rape hi mana jayega.
- Female ke body ke kisi bhi part mein ( mouth, nose or year) agar male apna private part dalta hai to vah bhi rape hi mana jayega.
- Female ke private part mein agar male apni body ka koi bhi part ( Finger etc.) dalta hai ya koi object to bhi vah rape hi mana jayega.
- Female ke sath forcefully sexual relationship ko banane ke liye uske body se dress ko remove karna ya bina dress remove kiye sex position mein lana bhi rape hi mana jayega.
- Age chahe kitni bhi ho, female's ki iccha( will ya consent) ke bina ki gyi aisi koi bhi harakt rape ke hi daire mein ati hai.
- Females ki age agar 18+ se kam hai aur sex mein uski sahmati( consent) hai to bhi vah rape hoga. Pahle ye age limit 16 year thi.
Kab shamati(Consent) ki Asahmati ( Unconsent ) mani jayegi ? ( When will be Consensus be considered as disagreement ?)
- Agar female minor hai means uski ages 18 year se jada nahi hai to uski bhi sahmati ( consnet) ko nahi mana jayega.
- Agar koi male kisi female ko dra( threat) kar sahmati (consent) leta hai to yah bhi rape hi mana jayega. Yaha dra kar aur dhamki ka matlab hai ki - Us fenale ko jaan se marne ki dhamki, uski family ko jaan se marne ki dhamki se hai.
- Female ne agar yah sanjhte hue sahmati di hai ki aropi uska pati hai ya future mein uska pati ban jayega, Jabki aropi uska pati nahi hai to bhi aisi shamati se banaya gya sexual realtionship rape hi hoga.
- Jab female ki sahmati (consent) li gyi ho, us time uski mental condition sahi nahi hai ya fir female ko behos karke ya nas (intoxication) ki halat (condidtion) mein shamati (consent) li gyi ho to vah sahmati bhi sahmati nahi mai jayegi.
- Indian Penal Code ke section 90 me bataya gya hai ki vesi sahamti ka koi bhi matlab nahi hai , jise galat vade ya dhokhe se li gyi ho . Marriage ka vada kar ke sexual realtion banaye jane ke case bhi rape hi mana jayega.
Rape ke case mein Age ka important role hai?
Rape ke case mein victim ki age ko prove krna important hota hai case ko kisi bhi mukam par pahuchane ke liye jo bahut jaruri hai aropi ko sja dilane ke liye.
- Age ka sabse bda proof hai high school ki mark sheet ya high school certificate jisme date of birth likhi hoti hai.
- Admission ke time likhvayi gyi date of birth ka crtificate.
- Corporation ya Panchayat mein birth ke time banvaya gya birth certificate.
- Boneage test, yah kisi bhi female ki age ka sahi pta nahi kga sakti hai . Agar female ki age 16 batai gyi hai to boneage test mein yah age 14 se 18 ke under aaki ja sakti hai. aise mein female ki age ko 18 year mani jayegi.
- Kanoon ke mutabik jo female major hai, vah sexual realtionship banane ke liye shamati de sakti hai aur tab vah rape nahi mana jayega.
Rape ke case me most important evidence kya ho sakte hai ? ( Most important evidence in a case of rape)
Rape ke har ek case mein most important evidence hota hai victim( female) ka statement jo ki uske dwara diya jata hai.
Aur bhi kuch aise evidence hai jinki jarurat hoti hai.
- Rape ek cognizable offence hai, agar aise mamle ki complaint aati hai police station mein to us police station ke incharge officer ke dwara complaint ko likh kar turant aropi ko arrest kare, taki aropi kahi bhag na jaye.
- Medical evidence jo ki solid evidence mana jata hai.
- Incident place mein paye jane wali materials.
- CCTV fotage, Email ya koi anya evidence.
Rape ke case mein sja ka pravdhan. ( Provision for punishment in Case of Rape)
Indian Penal Code ke Section 376 mein Rape ki sja ka pravdhan diya gya hai.
- Rape ke mamle mein paye jane wale doshi ko 7 saal se lekar umrkaid ( life imprisonment) tak ka pravdhan hai.
- Separation means husband aur wife ke alag hone rhne ke waqt kiye gaye rape ke mamle mein 2 year imprisonment se 7 year imprisonment tak ka punishment ho sakti hai.
- Agar kisi male ne marriage ka drama karne ke bad sexual realtion banane ki sahmati li jati hai aisa ladke ne jhoot bola tha to female ki complaint par Indian Penal Code 1860, section 493 ke anusar doshi paye jane par 10 saal tak jail ki sja ho sakti hai.
- Indian Penal Code 1860, section 376 ke anusar agar koi women dying condition mein hai to aise mein doshi ko fasi ( life to sentence) ki sja ho sakti hai.
- Gang rape ke case mein Indian Penal Code ke sectino 376 ke anusar 20 saal tak ki jail ho sakti hai.
Welcome
ReplyDelete