www.lawyerguruji.com
Pornography ke liye kanoon.
Information and Technology Amendment Act 2008 ke
Section 67 A
Indian Penal Code 1860 ke,
Section 292
Section 293
Section 294
Section 500
Section 506
Section 509.
Sja ( Punishment )
Apradh ki gambhirta ke hisab se pahli galti par 5 saal ki jail se aj yadi yahi apradh dubara kiya jata hai to 10 lakh ka jurmana aur 10 saal ki jail,
4 Child pornography.
Child pornography ke liye bahut hard kanoon banaye gaye hai. Child ko sexual act ya nude dikhate huye electronic format mein publidh karna ya kisi dusre ko send karna.
Child se related porn materiel ko taiyar karna, Store karna, dekhna ya download karna ya advertisement dena ya promote karna ya ek dusre se len den karna ya share karna yah sab illegal hai.
Baccho ( Children ) ko bahla fuslakar online relationship banana, aur unke sath sexual relationship banana ya baccho se judi porn activity ko record karna ya MMs bna kar dusro bhejna yah sab apradh hai.
Yaha Baccho se matlab hai 18 saal se kam age ke log.
Child pornography ke liye kanoon.
Information and Technology Amendment Act 2009 ke
Section 67 B
Section 292
Section 293
Section 294
Section 500
Section 506
Section 509.
Sja ( Punishment )
Pahle bar apradh karne par 5 saal ki jail aur 10 lakh ka jurmana, Aur Apradh ko duhrane par 10 saal ki jail aur 10 lakh ka jurmana.
Cyber crime aur in crime ke liye sja ( punishment ).
Cyber crime jo ki aaj ek gambhir vishaya bna hua hai. Computer, Internet, Digital Device, World wide web, Internet cafe, Mobile etc in sab ke madhyam se kiye jane wale apradh jurmane ( fine ) se lekar jail ( imprisonment ) tak ki sja ke niyam kanoon banaye gaye hai inhi niyam kanoon ke antargat hi apradhiyo ko sja di jati hai.
Duniya bhar mein Protection and investigation agency cyber cell sabhi cyber crime ko gambhirta se le rahe hai. Aise mamlo mein Information and technology Act 2000 aur Information and technology ( Amendment ) Act 2008 mein diye gaye pravdhan lagu hote hai.
Indian Penal Code 1860, Copy right 1957, Company law aur terrorism protection law bhi lagu hote hai.
Kuch mamlo mein Indian Goverment ke Information Technology Department ki taraf alag se jari kiye Information Technology Act 2011 bhi lagu hote hai. Yadi kisi vyakti ko sajis karke fasaya gya hai to aise mein bhi uske protectin ke liye bhi kanoon hai.
Computer Internet user ko hamesa hosiyar rahna chahiye taki jane anjane mein koi cyber crime to nahi ho rha hai.
Aaj hum apko sabko kuch cyber crime ke bare mein batane ja rha hu.
1.Data chori. ( Data theft)
Data ki chori se matalb hai ki kisi aur vyakti, Organisation, Government, Business firm, Company, etc, kisi ke computer system se bina uski permission se niji ya gopniya data ko lena isi ko data chori kahte hai.
Data chori ke liye kanoon.
Information technology ( Amendment ) act 2008 ke,
Section 43 B,
Section 66 E,
Section 67 C.
Indian Penal Code 1860 Ke,
Section 379,
Section 405,
Section 420.
Copyright law 1957.
Sja ( punishment )
Apradh ki gambhirta ke hisab se 3 saal ki jail aur 2lakh rupya jurmana ya in dono se.
2.Hacking.
Hacking ka matlan hai ki computer aur internet ke madhyam se kisi dusre vyakti, Organisation, Government, Company, Firm etc. In sab mein se kisi bhi ke computer system ya network mein unauthorized tarike access karna aur us system aur network mein store data ko delete, alter, change, ya damage karna. ya data ki chori karna apne kisi kam ke liye in sab galat karya ko hacking kahte hai aur jo log ise karte hai unko Hacker's kahte hai.
Hackng ke liye kanoon.
Information Technology Amendment Act 2008 ke ,
Section 43 A
Section 66
Sja ( Punishment )
Apradh ke sabit hone par 3 saal ki jail aur 5 lakh rupya jurmana ya in dono se hi.
3. Pornography.
Pornography jese apradh mein aise photo, Video, Text, Audio aur Material ate hai, jo adultery, Nudity, par hote hai.
Aise obsence material ko Computer, Internet, Mobile ya kisi anya electronic medium ke madhyam se publish karna ya post krna ya send karna, ye sabhi pornography cyber crime ke antargat ate hai jiske liye sja ka pravdhan bhi hai.
Jo log kisi dusre ki nude ya porn video bna lete hia ya inka MMS bna kar Computer, Internet, Mobile ya electronic medium se kisi dusre ko send karte hai to unke liye bhi sja ka pravdhan hai.Pornography ke liye kanoon.
Information and Technology Amendment Act 2008 ke
Section 67 A
Indian Penal Code 1860 ke,
Section 292
Section 293
Section 294
Section 500
Section 506
Section 509.
Sja ( Punishment )
Apradh ki gambhirta ke hisab se pahli galti par 5 saal ki jail se aj yadi yahi apradh dubara kiya jata hai to 10 lakh ka jurmana aur 10 saal ki jail,
4 Child pornography.
Child pornography ke liye bahut hard kanoon banaye gaye hai. Child ko sexual act ya nude dikhate huye electronic format mein publidh karna ya kisi dusre ko send karna.
Child se related porn materiel ko taiyar karna, Store karna, dekhna ya download karna ya advertisement dena ya promote karna ya ek dusre se len den karna ya share karna yah sab illegal hai.
Baccho ( Children ) ko bahla fuslakar online relationship banana, aur unke sath sexual relationship banana ya baccho se judi porn activity ko record karna ya MMs bna kar dusro bhejna yah sab apradh hai.
Yaha Baccho se matlab hai 18 saal se kam age ke log.
Child pornography ke liye kanoon.
Information and Technology Amendment Act 2009 ke
Section 67 B
Section 292
Section 293
Section 294
Section 500
Section 506
Section 509.
Sja ( Punishment )
Pahle bar apradh karne par 5 saal ki jail aur 10 lakh ka jurmana, Aur Apradh ko duhrane par 10 saal ki jail aur 10 lakh ka jurmana.
No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।