bhartiya dand sanhita ki dhara 304 B kya kahti hai? Dowry death section 304B of The Indian Penal Code
Hamare bharat desh me mahilao ko devi mana jata hai. par hamre samaj mein aise bhi kuch log hai jo in mahilao par kai prakar ke atyachar karte hai. Unko kai prakar ke tane marna, unhe bura kahna aur marna pitna aadi.
Hume aur aapko aksar TV aur news paper par yah ekhne aur sunne ko milta hai ki bharat mein har ek ghante par 1 mahila ki dahej ke karan hatya hoti hai. ye mahilaye apne pita (father) ke ghar se dahej na la pane ke karan isnko apne pati ( husband) se kai baato ko sunna padta hai.
kai bar to dahej ke karan in mahilao ki hatya kar di jati hai. Aise kai mamle court mein hai jo ki insaf ki rah dekh rahe hai. Aaj is post mein lawyerguruji apko yah batane ja rahe ki dahej hatya kya hai aur yadi koi vyakti is dahej hatya ke is gambhir apradh mein doshi paya jata hai to use kya sja hogi.
Bhartiya dand sanhita ki dhara (section) 304B mein dahej hatya (dowry death ) ke bare me bataya gya hai.
- Yadi kisi bhi mahila ki hatya burning ya physical harm ke karan se hoti hai,
- Yadi kisi bhi mahila ki hatya vivah ke 7 saal baad ho jaye.
- Unnatural reason se kisi mahila ki hatya ho jana.
- Yadi kisi mahila ko uske pati dwara dahej ko lekar torture kiya jata hai, aur aise mein vah khudkusi kar leti hai.
- Pati ya uske parivar walo aur ristedaro ke dwara us mahila ko torture karne ke reason se us mahila ne in sab se paresan hokar khudkusi kar li ho.
Related Post:-
304b mein arrest kitne dino mein hoti hai
ReplyDeleteप्रथम सूचना रिपोर्ट दर्ज होने के बाद तुरंत गिरफ़्तारी हो सकती हैं।
ReplyDelete