lawyerguruji

Bail kya hoti hai aur ye kaise milti hai- What is bail and how to get bail

www.lawyerguruji.com

Namaskar dosto, 
Jesa ki mein is blog par aap sabhi logo ko kanoon se sambandhit jankari deta rahta hu. Vese hi mein aaj aap logo ko Bail jise hindi mein Jamanat kahte hai uske bare mein batane ja rha hu. Yah post law ki study kar rhe sabhi student aur aam logo ke liye bhi hai. logo ko bhi kanoon ki thodi bahut jankari rahe.
Bail kya hoti hai aur ye kaise milti hai. ( What is bail and how to get bail)

Bail hoti kya hai ( What is bail)
Bail( jmanat ) Jab kisi bhi vyakti ko kisi apradh ke mamle mein police dwara giraftar kiya jata hai aur us vyakti ki bail ke liye court mein jo property jma ki jati hai ya dene ki pratigya ( promise ) ki jati hai to usay Bail kahte hai. Jamanat pakar court nishchit (sure) ho jata hai ki aropi vyakti sunvai (hearing) ke time jarur ayega yadi vah vyakti sunvai ke time nahi ata to uski jamanat ( jo property usne apne bail ke liye jma kar rakhi hai) vah japt ho jayegi. 
Aur Sunvai par court mein na ane par usay fir se Giraftar (Arrest) kar liya jayega.

Bail (jamanat) par riha hone ka matlab hai ki aropi vyakti ko kuch condition ko manna hota hai.
  1. Aropi vyakti desh ko chodh kar ya kahi bahar yatra karne ke liye us par pratibandh (boundation) lag jata hai ki vah bina court ki permission ke kahi nahi ja sakta hai.
  2. Jarurat hone par aropi ko court ya police station mein hajir hona hota hai.
Jamanati apradh kitni prakar ki hoti hai. ( Kinds of Bailable offence)
Apradh do prakar ke hote hai usi adhar par jamanat bhi di jane ka pravdhan hai.
  1. Jamanti apradh ( Bailable offence). Bailable offence ve offence hote hai jese :Marpeet, Dhamki, laparwahi se gadi(vehicle) chalana, Laparwahi se kisi ki mrityu ho jaye. Is tarah ke mamlo mein police se hi jamanat diye jane ka pravdhan hai. Aropi police station mein hi bond bharta hai aur fir vahi se usay jamanat di jati hai.
  2. Gair-Jamanati (Non-Bailable offence)-  Jab koi vyakti cognizable offence ke mamle me giraftar kiya jata hai jese: Loot, Dacoity, Hatya, hatya kis kosis, Gair iradtan hatya, Rape, Apahran, phirautee, aise mamle Gair jamanati apradh hai.Is tarah ke apradh ke liye court ke samne kai evidence diye jate hai aur fir court jesa samjhe bail de ya nahi.
Bail kitne prakar ki hoti hai (Kinds of bail) 

1.Regular bail - Criminal Procedure code 1973, ke Section 439 mein yah pravdhan diya gya hai ki jab kisi bhi aropi vyakti ka case trial court mein pending hai to vah bail ki mang kar sakta hai. Trail court ya High Court case ki merrit ke adhar par decision deta hai. Is section ke antargat aropi ko regular ya interim bail di jati hai. Aropi ko muchalka ( Bail bond) bharna hota hai aur jamanat ke liye diye gaye order ka palan karna hota hai.

2.Anticipatory bail-  Criminal Procedure Code 1973, ke Section 439 mien yah pravdhan diya gya hai ki yadi kisi vyakti ko andesha hai ki vah kisi mamle mein giraftar kiya ja sakta hai, To vah giraftari se bachne ke liye section 439 ke antargat anticipatory bail ki mang kar sakta hai.

Court jab kisi vyakti ko jamanat deta hai, to usay personal bond ke alawa jamanat bhi dene ke liye kha jata hai. Jab kisi aropi ko court ke taraf  se jamanat di jati hai to use personal bond ke sath -sath vah court ke dwara batai gayi rakam ka jamanti bhi pesh kare.

Example: Yadi court dwara 10000 rupya ka jamanti pesh karne ke liye kha gya hai to aropi ko 10000 rupya ki jamanati pesh karna hota hai.

Charge-sheet na hone par Bail.
Criminal Procedure Code 1973, ke Section 167(2) ke anusar jamanat diye jane ka bhi pravdhan hai. Yadi police dwara time par charge-sheet nahi pesh ki jati hai jo giraftari ke 90 dino ke bhitar pesh karni hoti hai, un arpadho mein jisme sja 10 saal ya usay jada ka pravdhan hai. 
10 saal se kam sja wale apradh ke mamlo mein 60 dino ke bhitar police dwara charge-sheet ko pesh karna hota hai, yadi aisa nahi hota hai to apradhi ko jamanat par riha karne ka pravdhan hai.

Jamanati kaun hota hai ?
 Jab aropi jamanat ke liye court mein arji pesh karta hai to us vyakti se court guarantee leti hai ki vah bhag na jaye. yah aisi guarantee lene ke liye court aropi vyakti ko order de sakti hai vah aise vyakti ko bhi pesh kar sakta hai jo uski guarantee le, aise vyakti ko " Jamanati kahte hai.

Jamanati aropi ke pehchan wala hi koi hona chahiye jese ki uske parivar wale ya uske dost ya sage sambandhi.
Aisa isliye hona chahiye kyoki jab jamanati court mein pesh hota hai to, Court usay puchti hai ki vah aropi ka jamanati kyo ban rha hai?
Ropi ka usay kya rista hai?
Jab court jamanati se satisfied ho jata hai, tab vah bail- bond baharta hai. Jitni rakam ka vah jamanati hota hai utne hi rakam ka bail-bond usay bharna hota hai, aur uske badle mein court mein document bhi pesh karne hote hai. Iske bad court jamanati ka signatur leta hai aur aropi ko jamanat par riha karne ka adesh police station ko de deta hai.

1 comment:

  1. Such a strikingly basic article.I basically wish to offer a creature proceed for the standard data you have perfect here on this post. Franklin County bail bonds

    ReplyDelete

lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।

नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।

Powered by Blogger.