www.lawyerguruji.com
Hacking kya hoti ? (What is Hacking)
Hacking ek Cyber Crime hai jo ki kanoon ke anusar punishable hai.
Hacking use khte hai jab kisi Computer system ya network mein secure information ko unauthorized tarike se us computer system mein aur network mein entery karke system mein kisi vyakti ya organisation dwara store kiye gaye important data ki chori karna ya us data mein se kisi ek file ko delete kar dena ya puri ki puri information ko delete kart dena.
Computer Crime mein forgery, fraud, aur unauthorized access ko hacking kha jata hai. Alag alag desho mein aur condition mein is crime ko alag alag nam diye jate hai.
Network mein entery aur uske use ke kuch certain rule aur term and conditions jisko pura kar ke hi vyakti is network ka use kar pata hai. Internet service ko use karne ke liye har vyakti ko internet service provider telephone company ke dwara provide ki jane wali service ke liye ek certain amount pay karna hota hai. Yadi internet service costly hoti hai to ye internet service provider company payment monthly, quarterly, half- yearly ya annually payment ka option bhi deti hai jese vyakti pasand kare.
Unke network mein unauthorized vyakti entery na kar sake uske liye ye apne customer ko network mein entery karne ke liye ek certian User-name aur Password bhi dete hai. Ye user company dwara diye gaye username aur password ke adahr par us network par logging kar ke entery kar sakte hai aur is internet service ka use kar sakte hai.
kuch log aise bhi hote hai jo inrternet service provider company ko bina payment kiye us network ka use karna chahete hai.aur iske liye ve apne technology knowledge ka use kar ke kisi dusre ka user name aur password ko hack kar ke ya uska pta lga kar us network mein unauthorized acces kar ke uska use karte hai.
Is tarah ka kam krne wale logo ko Freaker ya Hacker kha jata hai aur is kam ya is tarike ko Freaking ya Hacking khi jati hai.
Hacking mein computer system ya network mein unaunthorized access kar ke us computer mein store important data aur important file ko nuksan pahuchana rahta hai.
Us computer mein store file ke sath kuch aisa usme badlav ya delte, altering karna jisse kisi bhi companny, organisation, Government ya private company ko direct ya in-direct hani (harm) pahuchani ke liye kiya jata hai.
Kese hoti hai Hacking ki shurwat ? ( how hacking is started? )
Hacking ki shurwat ek proggram dwara hoti hai jiska use system mein ayi error ke liye system administrator dwara hota hai us system ayi error ko janne ke liye.
Isi program ki help se Hacker ek second mein yah jan leta hai ki us system mein kaun sa operating system hai aur isme se kitne mein security error hai aur security errror ko dur karne ke liye in system mein patch install kiya gya hai ki nahi kiya gya hai.
Iske bad Scanner, Proggram ya other's software ki help se unsecure place ya file mein ek trozan horse jo ki ek type ka virus hota hai use dal diya jata hai jo ki computer onwer dwara computer ko log on kar ne par bina computer owner ki jankari ke yah virus us computer par store sabhi important file aur data ko us hacker ke pass send karne lagta hai.
Jab ek bar identity aur password ka pta lag jane ke bad us computer par Hacker's ka pura control ho jata hai.
kuch aur bhi tarike hai jiski help se hacker's kisi bhi computer ko hack kar sakte hai.
- Hacker jadatar kya karte hai ki ve apne khud ke hacking proggram ko develop karte hai. ve in proggram ko apni website ya mailing list ke madhyam se kisi computer system ya network ki security error ko catch karte hai aur ane jane wale sabhi data ko scan kar ke system aur network ki puri jankari ko hacker tak send karte rahte hai.
- Market mein kuch aise software bhi hai jo modem ka use karke hajaro phone number dial karke computer se jude other's modem aur cyber attack ke prati unsecure computer aur network ki ek list bna lete hai. Yah list hacker's dwara apas mein exchange ki jati hai. Aur computer system aur network me store sabhi file ko hack kar ke nukasn pachuchate hai.
Is time world ki har ek country is cyber crime ( HACKING) se parshan hai. India ki bat kare to year 2007 ki starting ke 5 months mein hi hacking ke 2344 case samne aye.
Indian Computer Emergency Response team ke collect kiye gye record ke anusar yaer 2006 mein Hacking ke 5200 case samne aye.
Hacker's se secure hone ka dawa koi organisation nahi kar sakta.
14 August 2006 ko Hacker's ne United State ki site hack kar dali thi.
31 August 2006, ko Bank of India ki site hack ki.
7 November 2006, ko Vodafone ki site ko target banaya gya tha.
Year 2007, NIC kolkata Police, Indian Military Academy ki site ko hacker;s ne hack kiya
Sabse tension ki bat to yah hai ki hacking ab economic system ko harm pahuchane ke liye ki ja rahi hai
Hacking ke Aims kya hai ? ( Aims of Hacking)
- Naye Naye Computer jankar ke dwara ise challange ke roop mein liya jata hai .
- Kisi computer system ko damage karna.
- Kisi Organisation ke computer mein store file ko delete karna ya use lena.
- Information ki chori karna.
- Intellectual property ki chori karna jese : )Patent, Trademarks, Copyright aur design.
- Ksis ko badnam karna.
- Apne interest mein unauthorized record ko sale karna ya use apne interest mein use karna.
- Politics idea ko chori karna.
No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।