www.lawyerguruji.com
Gharelu hinsa se suraksha ( Protecting Woman's from Domestic Violence).
Mahilao ke upar hone wale atyachar aur hinsa ko rokne ke liye Bhartiy Sarkar ne ek ahem kadam uthaya taki gharelu hinsa ki shikar hui mahilao ki suraksha ki ja sake aur unpar atyachar karne wale logo ko kanoon dwara sja dilavai ja sake. mahilao ko apne Pita ya Pati ke ghar me gharelu hinsa se sikar hoene se bachaya ja sake. Jiske liye Gharelu hinsa Adhiniyam ( Domestic Violance Act ) ko lagu kiya gya. Is adhiniyam ke antargat mahila ka koi bhi gharelu ristedar is kanoon ke dayre me ata hai.
Gharelu hinsa kise kahte hai ( What Is Domestic Violence )
Gharelu hinsa use kahte hai jab kisi bhi mahila ke sath kisi bhi tarah ka atyachar, hinsa aur kisi bhi anya prakar ka atyachar bhi shamil hai. Hum Aksar yah sunte aye hai ki roj ki na koi mahila gharelu hinsa ki shikar hoti hai aur jo ki uske ang ke sath sath uski mansik sthti par bhi bura asar padta hai jo ki us mahila ke jivan ke liye khatra bhi ban sakti ha.
Gharelu hinsa hoti kya hai.
kisi bhi mahila ke kisi bhi prakar atyachar karna usse hinsatkmak vevhar karna use dhamkana ,marna , uspar arop lagana aur anya prakar ki hinsa.

- Yadi Pati dwara apni patni par kisi bhi prakar ka atyachar kiya jata hai jo ki uske mansik sthiti ko nuksan pahuchati hai to vah gharelu hinsa ke under hi ayegi.
- Mahila ke sath ki gayi marpit.
- Mahila ke sath mansik pratadna ka yah matlab hai ki use gali galoj dena ya use har bat par galat sabhd khna, bar bar ek hi bat ko lekar tane marna ya anya tarah se bhavnatmak thes pahuchana.
- Kisi bhi mahila ko ghar se nikal dena.
Arthik hinsa karna. ( Economic Violence with women's )
Is Adhiniyam ke antargat Arthik hinsa bhi iske dayere me ati hai. Yadi kisi bhi mahila ke sath atyachar arthik sthiti ko lekar hota hai to vah bhi ghrelu hinsa ke ander hi ayegi. jo ki kuch is prakar hai jiase:-
- Kisi bhi mahila ko khracha na dena .
- Uski kamai gyi rashi adi usse chin lena .
- Us mahila ki noukri sambandhi dastavej apne kabje me le lena aur na dena .
In har mamlo me vah chahe mahila ho ya patni ho ya beti ho ya maa hi kyo na ho , yadi inke sath koi bhi atyachar hota hai to ye is hinsa ke virodh me awaj utha sakti hai , ghrelu hinsa kanoon ka sahara le sakti hai.
Domestic Violance ke antargat kiske khilaf shikayat ki ja sakti hai?
Gharelu ristedari ka yhah matlab hai ki ek hi ghar me kisi bhi riste ke tahat rahne wali mahila ke sath yadi kisi bhi tarah ka uske sath atyachar kiya jata hai to vah is iski shikayat najdiki police station me kar sakti hai. vah har relation Domestic Relation ke dayere me ayega.
- Domestic Violence ke antargat vah har mahila jo shadi shuda hai yadi uske saural wale use marte hai, tane dete hai, aur uske sath agr galat vevhar karte hai to vah mahila apne saural walo ke khlaf shikayat kar sakti hai. Prantu us mahila ka domestic relation me rhna jaruri hai.
- Yadi atyachar pati dwara kiya jata hai to uske khilaf shikayat garj karai ja sakti hai
- Yadi koi bhi mahila shadi ke relation me nahi hai tab uske sath domestic violence hota hai vah aisi sthiti me kewla us jimmedar purush( male) ke khilaf hi shikayat darj kra sakti hai aur use hi kewal prati vadi bna sakti hai.
- Apni Maa ,nahen, a bhabhi ko vah is Adhiniyam ke antargat prativadi nahi bna sakti.
Domestic Violence ki dhara 12 kya kahti hai? ( Section 12 of the Domestic Violence )
- Domestic Violence ki dhara 12 ke anusar domestic violence ki shikar hui mahila is dhara ke antargat metropolitan Magistrate ki Court me shikayata kar sakti hai.
- Shikayat karne ke bad us shikayat ki sunvai ke samay( time ) court protection officer se us shikayat ki report mangti hai.
- Mahila jahan rahti hai ya jaha uske sath gharelu hinsa hoti hai ya fir jahan vah vyakti rhta hai jisne uske sath atyachar kiya hai ya jaha prati vadi rhta hai , vaha par shikayat ki ja sakti hai.
- Protection officer gharelu hinsa ki puri jankari ki ek report bna kar Court ke samne pesh karta hai.
- Us report ko dekhne ke bad Court dwara us prativadi ko summon jari karti hai.
- Prativadi ka paksh sunneke bad court apna adesh parit karti hai.
Is samay (time) Court yah adesh deti hai ki us mahila ko usi ghar me rhna diya jaye jaha vah rhti hai, Us mahila ke bharan posan ke liye rashi bhi dene ka adesh karti hai, sath hi sath us mahila ko protection dene ka bhi adesh karti hai.
Domestic Violence ki dhara 31 ( Section 31--A of the Domestic Violence Act)
Yadi Court us mahila ke paksh me adesh parit karti hai aur prativadi dwara court ke adesh ka palan nhi kiya jata hai to Domestic Violence ki dhara 13 ke anusar us vyakti par case bnta hai.
Is Adhiniyam ke antargat chalaye gaye mukadme(case) me doshi paye jane wale us vyakti ko sja ho sakti hai. Is adhiniyam ke anusar us vyakti ko 1 saal tak ka kathin karavas ki sja ka pravdhan hai. Sath hi, 20 hazar rupye tak ke jurmane ki sja ka pravdhan hai.
Yah case apradh air jamanti ( Non-p bailable offence) hota hai, aur non cognizable offence hai, jiske antargat yadi koi bhi vyakti Domestic violence ka doshi paya jata hai to police us vyakti ko bina magistrate ki adesh giraftar kar sakti hai.
No comments:
lawyer guruji ब्लॉग में आने के लिए और यहाँ पर दिए गए लेख को पढ़ने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद, यदि आपके मन किसी भी प्रकार उचित सवाल है जिसका आप जवाब जानना चाह रहे है, तो यह आप कमेंट बॉक्स में लिख कर पूछ सकते है।
नोट:- लिंक, यूआरएल और आदि साझा करने के लिए ही टिप्पणी न करें।